Monday, September 19, 2011

Jo Ho Sakay To

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo

Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo

Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya “DHANANJAY”

Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo

 

 

 

Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,

tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,

Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.

Apne dil ke raaston ko aise band mat karo,

kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse “DHANANJAY”,

Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.

 

 

 

Najane kyon khayal ata hai mujhe.

Jaise ajj se pehle dekha hai tujhe.

Jaise bus kuch palon ki hi baat hain “DHANANJAY”.

Chod ke chal diya tha tu mujhe.

No comments:

Post a Comment