Thursday, September 15, 2011

Teri Khushbu

Teri khushbu ka pata karti hai

Mujh pe ehsan hawa karti hai

Shab ki tanhai main ab to aksar

Guftagu tujh se raha karti hai

Dil ko us rah pe chalna hi nahin

Jo mujhe tujh se juda karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to

Tere kahne main raha karti hai

Us ne dekha hi nahin warna ye ankh

Dil ka ehwal kaha karti hai

Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht

Ret par nam likha karti hai

Sham parte hi kisi shakhs ki yad

Kucha-e-jan main sada karti hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk

Hal jo tera ana??? Karti hai

Dukh hua karta hai kuch aur bayan

Bat kuch aur hua karti hai

Abr barse to inayat us ki

Shakh to sirf dua karti hai

Masla jab bhi utha chiragon ka “DHANANJAY”

Faisala sirf hawa karti hai

No comments:

Post a Comment