Wednesday, June 22, 2011

Meri Zindgee

Meri Zindgee Kay Charagh Ko
Yoon Hee Jaltaa Chore Do

Kia Pata Kab Kahan Tumhain Kuch Andhera Saa Dikhaee Day
Jo Raat Sakht Thee Guzer Gaee

Jo Din Kara Thaa Kat Gia
Ho Gaee Udaas Shaam Bhee

Woh Wasl Kaa Waqt Bhee Kat Gia
Woh Gulaab Dhoop Bhee Chut Gaee

Main Iss Umeed Pay Hoon Khara
Woh Mujhay Atta Dikhaee Day

Yoon Intzaar-e-Yaar Main
Khushboo kaa safr Bhee Khatam Howa

Kia Bahaar Mujh say rooth gaee
Jo Khizaan Atee Dikhaee Day

Meri Ik Arz Hay Khuda Say
Mujhay Mot Jab Bhee Naseeb Ho

Mira Sir Ho Kow-e-Yaar Per
Aur Woh Mujhay Muskarata Dikhaee Day

Mere Iss Gazal Kay Safr Main
Mera Yaar Mujh Say Bicher Gia

Mujhay Zindgee K ayn Darmyan Ik Khala saa Dikhaee Day

Wednesday, June 15, 2011

Waqt Say

Abb Kahan Dost Milein Saath Nibhaaney Vaaley
Sab Nay Seekhay Hain Abb Adaab Zamaaney Vaaley

Dil Jalao Ya Diye Aankhon Kay Darvaazey Par
Waqt Say Pehlay Tou Aatey Nhi Aaney Vaaley

Ashq Bann Kay Main Nigaahon Mein Teri Aaoongaa
Ai Mujhay Apni Nigaahon Say Giraaney Vaaley

Waqt Badla Tou Uthaatey Hain Abb Ungli Mujh Par
Kall Talaq Haq Mein Merey Haath Utthaaney Vaaley

Waqt Har Zakham Ka Marham Tou Nhi Bann Sakta
Dard Kuchh Hotay Hain Ta-Umar Rulaaney Vaaley…!!!





Aey khuda tu nay q bnayi aatish-e-dozakh,…
Mohabbat hi kafi hai insan ko jalanay k liye….!!

Tuesday, June 14, 2011

Tu Mera Naam

Apne honthon par sajana chahta hoon..
aa tujhe mein gungunana chahta hoon..

koi aansoo tere daman par gira kar..
boondh ko moti banana chahta hoon..

Thakk gaya mein karte karte yaad tujhko..
Abh tujhe mein yaad aana chahta hoon…

Jo bana Baayes meri nakamiyon ka
Mein usi ke kaam ana chahta hoon

Chah raha hai sari basti per andhera
Roshni ko ghar jalana chahta hoon

Phool se paiker to nikle be-murawat
Mein pathron ko azmaana chahta hoon

Reh gayi thi kuch kami ruswayiyon mein
Phir kateel us dar pe jana chahta hoon

Aakhiri hichhki tere zaano’ pey aaye..
Maut bhi mein shayaraana chahta hoon..




zindagii kis tarah guzregi ab aaraam ke saath
tu mera naam jo le leta hai ilzaam ke saath

mujhse aa aa ke sabhi poochhenge tere baabat
kab talak baat chhupaa paaunga anjaam ke saath

ab tow tanhaiyon mein ghir ke yehi sochta hun
umr bhar yaad kiya jaaunga bad_naam ke saath

apne daaman ko bacha kar tu chala ja mujhse
de ja ruswaiyan kuch aur bhi in’aam ke saath

mujhse ik bhool hui tujhse muhabbat kar li
bhool jaa mujh ko mere pyaar ke payeGhaam ke saath

zindagi tark e talluq mein kategi kaise
bass “khayal” itna bata jaa mujhe ifhaam ke saath




main nazar se pii rahaa huN ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kahin raat Dhal na jaaye

mere ashk bhi hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye

abhi raat kuchh hai baaqi na uThaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahin phir sambhal na jaaye

meri zindagi ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane ki Khushi mein meraa dam nikal na jaaye

mujhe phuNkane se pahale mera dil nikaal lenaa
ye kisi ki hai amanat kahin saath jal na jaaye




Main kab kehta hoon wo acha buhat hai
Magar us ne mujhe chaha buhat hai

Khuda is sheher ko mehfooz rakhay
Ye bachon ki tarha hansta buhat hai

Main har lamhe main sadyan dekhta hoon
Tumhare sath aik lamha buhat hai

Mera dil barishon main phool jaisa
Ye bacha raat main rota buhat hai

Wo ab laakhon dilon say khelta hai
Mujhe pehchaan le itna buhat hai




Itna Qareeb Aao K Ji Bhar K Dekh Lein,
Shayad K Phir Milo To Ye Zoq-e-Nazar Na Ho.

Aaye Ho Ab K Jo Tum To Aik Shab Qayaam Kr Lo,
Shayad K Phir Guzar Ho To Mera Ghar Na Ho,

Mumkin Hai K Tarteeb-e-Waqt Main Aisa B Lamha Aaye.
K Dastak Ko Tera Hath Uthey Aur Mera Dar Na Ho..

Monday, June 13, 2011

Kabhi Kaha Na

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
kaho Toh Aaj Saja Luu Garib Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaana Toh Sayyad Dekh Kar Jaana
Akele Chhod Kar Aayaa Huu Aashiyaane Ko

Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko

Dabaa ke Qabr mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumhaare Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhord Duu Fasaane Ko

Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko





Kashti Bhi Na Badli Dariya Bhi Na Badla.
Par Ham Dubne Walo Ka Jazba Bhi na Badla.

Hai SHOK-E-SAFAR Aisa ek Umar se Hamne
Manzil bi Na payi Or Rasta bi Na Badla.!




Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay,
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,

Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,

Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k,
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,

Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay,
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,

Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

Sunday, June 12, 2011

Aisa Dard

mujhay Aisa Dard Ata’a Keya Jo Na Hijr Tha Na Visaal Tha
mairay Mausamoon Kay Mizaajdaan Tujhay Kitna maira Khayal Tha

Khoon-E-Dil Say Likha To Tha Tairay Saal-E-Hijr Ka Saaniha
Jo Buhut Adhoora Sa Reh Gaya, Woh Na Janay Koun Sa Saal Tha

Kisi Aur Chehray Ko Daikh Kar Tairy Shakal Zehen Main Aa Gayee
Taira Naam Lay Kay Mila Usay, mairay Haafzay Ka Yeh Haal Tha

Kabhi Qurbatoon Kay Deyaar Main, Kabhi Chaahtaoon Kay Ghubaar Main
Wahaan Umr main Nay Guzaar Dy, Jahaan Saans Laina Mahaal Tha …




Dafan hain us k Ghar k sath Qabristan mein,
Magar phr bi wo rota hai,
Khud hi kaha karta tha k Bana lo Qareeb koi thikana
k Milna aasan hojaee




KOI EK BAAR TOOT KR CHAHE BS ITNI TAMANNA HE,,,
PHR RAIT KI MANIND BIKHAR B JAON TO KOI BAAT NAHI

Saturday, June 11, 2011

Har Ik Hadd

Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtunga youn bikhar gaya hon main

Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main

Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andhero’n main ab utar gaya hon main

Baam o darr bhi us k baad ho gaye hain you’n khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main

Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thhehar gaya hon main

Monday, June 6, 2011

Saliiqe

din saliiqe se ugaa, raat Thikaane se rahii

dostii apanii bhii kuchh roz zamaane se rahii

 

cha.nd lamho.n ko hii banatii hai.n musavvir aa.Nkhe.n

zindagii roz to tasviir banaane se rahii

 

is a.Ndhere me.n to Thokar hii ujaalaa degii

raat ja.ngal me.n koii shammaa jalaane se rahii

 

faasalaa chaa.Nd banaa detaa hai har patthar ko

duur kii raushanii nazadiik to aane se rahii

 

shahar me.n sab ko kahaa.N milatii hai rone kii furasat

apanii izzat bhii yahaa.N ha.Nsane-ha.Nsaane se rahii

Sunday, June 5, 2011

Mat Tor

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,

Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,

Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,

Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse “DHANANJAY”,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

Friday, June 3, 2011

Tum Aaye

Aur Kuchh Nahi Main Chahta, Mujhe Bas Chahat Hai Teri,
Tu Hi Ho Saath Mere Bas Ye Koshish Hai Meri,

Tum Aaye Par Der Se Aaye Ye Shikayat Hai Meri,
Par Shikva Nahi Hai Tumse, Bas Ibaadat Hai Meri,

Aur Kuchh Nahi Main Chahta, Mujhe Bas Chahat Hai Teri "DHANANJAY",
Sada Tere Hothon Ki Muskaan Bas Ek Khwaish Hai Meri.




Tujh Ko Maanga Hai Tadhap Kaar Raab Se,
Tu Nahi Jaan Taa, Kitni Tujse, Chahaat Ki Hai,

Jism Mera Hai, Meri Rooh Ban Ke Tu Rehta Hai,
Meri Saansoon Se Bhi Tune To Bgawaat Ki Hai,

Maanle Tu Bhi Sanam, Jaanle Chahat Meri,
Saari Duniyaa Se Alaag “DHANANJAY” Ne To Ulfat Ki Hai,

Sari Duniyaa Se Churaayaa Hai Tujh Mene Sanaam,
Sari Dunia Se Mere Dil Ne, Bgaawaat Ki Hai,

Har Taraaf Teraa Hi Jalwaa Hai Jahaan Bhi Dekhun,
Khud Se Bhi Zyaada Mere Dil Ne Mohabbat Ki Hai,

Meri Raag – Raag Mei Smayaa Hai Lahu Ban Ke Tu,
Kesi Duniyaa Se Alag , Mene Ye Chahat Ki Hai,

Meri Har Sans Mei Bastaa Hai, Khoboo Bankar,
Ek Enshaa Ko “DHANANJAY” Kesi Tune Mohabbat Ki Hai.


Wednesday, June 1, 2011

Pyar Ka Matlab

Pyar Ka Matlab Kya Hota Hai, Dil Ne Kaha Vo Rab Hota Hai,
Humne Kaha Ki Rab Kab Rota Hai, Dil Ne Kaha Koi Jab Dhoka Deta Hai,

Humne Kaha Pyaar Kyo Hota Hai, Dil Ne Kaha Koi Jab Ankho Se Chuta Hai,
Humne Kaha Hamein Bhi Chu Lene Do, Dil Ne Kaha Kuch Ho Jane Do,

Intejar Hai Ab Bhi Hamein Kuch Hone Ka, Meethe Se Pyare Ahsas Mein Khone Ka “DHANANJAY”,
Par Ab Nahi Samje Hum Yaaron Ki Pyaar Ka Matlab Kya Hota Hai.





Mohabbat Mein Hum Mashoor Kya Huwe,

Har Harkat Humari Deewangi Lagnay Lagi,

Lafz Jo Niklay Haal-E-Dil Ka Bayan Karne “DHANANJAY”,

Zamane Ko Har Wo Baat Shayari Lagnay Lagi





Maana Ke Tere Shehar Mein, Sabse Gareeb Hum Hi Honge,

Agar Biki Teri Wafa, To Pehle Kharid-Dar Hum Hi Honge,

Tujhe Khabar Na Hogi Apni Keemat Ki “DHANANJAY”,

Tujhe Pakar Sabse Amir Hum Hi Honge,





Main Teri Tanha Ratoo Mein Aaunga,

Main Tere Tutee Vadoo Mein Aaunga,

Ho Agar Aasan To Bhulade Mujh Ko “DHANANJAY”,

Kyunki Main Tere Har Lafz Mein Aaunga,