Sunday, July 31, 2011

Zara Si Baat

Is Zindagi ko jeene ke liye ek Bahana darkaaar tha DHANANJAY
Aap gham dete gaye aur hamari basar hoti gayi…



 

zara si baat dair tak rulati rahi
Hansi me bhi aankhe aansu bahati rhi,
Koi kho k mil gya,koi mil K kho gya “
DHANANJAY
”,,
Zindagi hamko bas aise Hi aazmati rahi..!!




 

ULjhay huey hain palkon main shabnam k chand qatry “DHANANJAY”…
Bichra tha koi raat ko, Khawabon k safar main …!!!




 

Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
“Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata


“manzil ki b hsrat thi or us se muhabat b
“ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhr jata


“muddat ka safar b tha or brson ki shanasai “DHANANJAY
“rukta to bkhar jata chlta to me marjata.




 

Tapak padhtey hai aansu jab tumhari yaad aati hai “DHANANJAY”…
yeh woh barsaat hai jiska koi mausam nahi hota ..

Thursday, July 28, 2011

Naraz

Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kaheen choot sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra’asatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Mujhay dhondta hi phiray ga tu, na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan “DHANANJAY
Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay

Monday, July 25, 2011

Pathar

“Us ke mehwar se niklu to dunya nazar aye saqi

phir bina uske ye Dil chain na paye saqi

mohabbat to hogayee hum ko us pathar se lekin

ab deko hum ko raas aaye na aaye saqi

wo mil gaya he to lagti he dunya Qadmo me

ye dewangi Dewane ko kaha lejaye saqi

me uski yad se ik pal b ghafil ho nahi paata

phir kese mumkin he wo mujhe bhool jaye saqi

humsa mukhlis usay na milega zamaane me ”DHANANJAY

usay kaho is Dil ki lagi ko Dillagi na banaye saqi…..



 

ab jo bikhray tau bikharnay ki shikayat kaisi”

khusk patton ki hawaun say rafaqat kaisi

main is daur k insaan say mhabat ki hay

jurm sangeen hay tau phr is may riyaayat kaisi

rukh na kisi aur taraf,roo e sukhan k bs meri taraf

ye muhabbat may meri jaan siyasat kaisi

aik patta bhi agar shakh say hota hay juda

kya kahin dil pay guzarti hay qayamayt kaisi

xindagi tujh ko lamho ka safar kehtay hain ”DHANANJAY

tau rah may aa gaye ye sadiyon ki musafat kaisi…!!

Sunday, July 24, 2011

Saaqi

Ummr jalwon main basar ho yeh zaruri to nahi
Har shab-e-ghum ki sehar ho yeh zaruri to nahi

Chashm-e-saqi se piyo ya lab-e-saagar se piyo
Bekhudi aathoN pehar ho yeh zaruri to nahi

Nind to dard ke bistar pe bhi aajati hai
Un ki aaghosh maiN hi sar ho yeh zaruri to nahi

Shekh karta to hai masjid main khuda ko sajde
Us ke sajdoN maiN asar ho yeh zaruri to nahi

Sab ki nazron me ho saaqi yeh zaruri hai magar “DHANANJAY”
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaruri to nahi….



 

yeh sheher agar sheher hai to sunsaan sa kyon hai

is sheher ka har fard parshaan sa kyon hai

is sheher ke log jisey kehte hain maseeha

woh shakhs mre dard se anjaan sa kyon hia

mitti ka bana hai to ghul kyon nahin jata “DHANANJAY”

pathar ka sanam hai to insaan sa kyon hai



 

Bakhsha Tha Jis Ne Rooh Ko Zakhmo Ka Perahan.
“DHANANJAY” Wo Shakhs Kitna Tabiyat Shanas Tha….!

Tuesday, July 19, 2011

Addawat

!!…Na jany Zamany walon ko kiya addawat hy hum sy…!!!
!!…K jiss ko hum chahain sab Usi k Talab-gar ho jaty hain…!!!


 


Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”


 


Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se…
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se…..

Duniya bhi mili hai
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha khuda se

Aaine main wo
apni ada dekh rahe hain
Mar jaaye ke Jee jaaye koi unki bala se

Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se…
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se…..


 

Jahan pe ishq ki sarhad junoon se milti hai!!!!!….
Waheen pe aa k mile… wo agar mohabbat hai…..


 

‘Abhe masroof hon kafi kabhe fursat me sochun ga,,,,
”k tuj ko yaad rakhne me main kya kya bhol jata hun…!



 


Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota…


 

Kariya-e-jan main koi phul khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye

mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye

us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye

isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye

ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye

zabt ki shahar-panahon ki mere malik
khairgam ka sailab agar mujh ko bahane aye

Sunday, July 10, 2011

Tum

Tabdeeli Jab Bhi Aati Hae Moasam Ki Adaon Mein..!
Kisi Ka Yun Badel Jana Bohat Hi Yaad Aata Hae..!



 

HAm Uski Khushi Ki Dua Mangty RahE
aur Be Panah Mangty RahE

Aj W0 Khush Hai Kisi or K sath

Ab Samjh Aya Hum “KHUDA” Say
ApnE Lye Hi Saza MangtE Rhe.



 

Bolay tou lafz baes e ilzam ho gaey
Hum chup rahe tou or b bdnaam ho gaey,

thy tand -o-tez kis qadar apni yeh zindagy
Kitnay he hadsaat sare shaam ho gaey,

Chahat k chaar harf ksi nay jo keh diye
Hum dil ko paas rakhnay mein nakaam ho gaey,

Baithay jo aa k hum tou wo uth kr chalay gaey
Aisay he waqiyat mein hum aam ho gaey,


 

Zindgi Tujhse Humain Koi Taman’na Kab Thi..!
Hum To Is Aass Pay Jeetay Hain Ke Marna Kab Hai..!





MUJHY KUCH BHI NAHE KHNA FAQAT ITNI GUZARISH HE
BAS UTNI BAAR MIL JAO K JITNA YAAD AATY HO…..



 

Usay Kaho Apni Masrofiyat Kam Kar Dye Mohsin..!
Suna HAi Bicharne Ki Yae Pheli Nishani Hoti Hai..!



 

Meray Zakhmon ki Dawa kon baney gA terAy baad..!
Ham nAy apnAy bhi khoey thay tujAy panAy kAy liye..!



 

Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain
Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai
Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain
Mera Ek ” Pul ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote

Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Mere Dost ”
Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”



 

Tum Mein Heeray Ki Sift Hy Tou Andhere Mein Milo
Dhoop Mein Tou Kaanch k Tukre b Chamak Jate Hyn


Saturday, July 9, 2011

Abhi To Ishq

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

” yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Thursday, July 7, 2011

Jis Ne Likha

Kabhi mom ban k pighal gya,
Kabhi girte girte sambhal gya,

Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,

Kabhi tarap utha meri aah se,
Kabhi ashk se na pighal ska.!

Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya,

Wo utar gaya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.

Wo chala gya jaha chor k,
Main wahan se phir na palat ska.

Wo to sambhl gaya Mujhe chor k,
Main bikhar k phir na simat saka…



 

Tum se mumkin ho to phir rok Do saansen meri
Dil jo dharkay ga to phir yaad to tum aao ge…



 

Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Chahatoon kay azaab kia likhoon

Apni auqaat se to waqif hoon
Khud ko mein maahtaab kia likhoon

Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon

Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon

Sadmey pehley bhi seh liye hein magar
Ab jo toota ataab kia likhoon

Tashnagi to na bujh saki
Kitney aaye saraab kia likhoon…!!!



 

“Abhi taaza hay bohat ghao bichar jane ka
ghair leti hay teri yaad sr -e-shaam abhi”



 

Chalo Woh Ishq Nahi Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,

Tu Apni Sheesha Gari ka Na Kar Hunar Zaya
Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,

Main Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata
Main Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,

Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,

Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,

Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon
Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,

Yeh Khud Aziyati Kab Tak “FARAZ”
Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai.

Sunday, July 3, 2011

Ek Tmana

Kuchh Beete Hue Lamho Se Mulakat Hui
Kuchh Tute Hue Sapno Se Baat Hui

Yaad Jo Karne Baithe Un Tamam
Yado Ko To Apki Hi Yaado Se Shuruat Hui




Bas Aik He Tamanna Rakhta Hun Main Apnay Dil Me Mohsin
Muhabbat Say Milo Chahay Mujhay Barbad He Ker Do..




“Neendoon” ki Baghawat se Ye Nuqsaan Huwa Ha…
Ik “Shakhs” Key Khawaboon Ko Tarasti Rahien Ankhien.




Kbhi Ulfat Bhara Lehja Kbhi Utra Hua Chehra,
Samajh Mein Kuch Nahi Aata Bata MERA Gunah Kya Hy?
Meri Uljhan Mita Tou Dy,
Mujhy Itna Bata Tou Dy,
Main Mujrim Hoon Ya Mehram Hun Saza Kya Hy Jazaa Kya Hy?
Meri Saansei’n Tou Chalti Hain Teri Yaad0′n Sy Aey Humdam.
Nahi Fursat K Ye Soch0′n Fana Kia Hy Baqa Kia Hy…?
MERA Ye Dil,
Meri Dharkan,
Meri Saansei’n Ye Jaan…
Ye Sb Kuch Naam TERE Hy Bata Peeche Bacha Kya Hy?




KAbI kaBi soChta ho Kisi QatIl k haWaly kar don Zindigi Apni
yun Roz Roz judayi mAin mujh Sa marra nAhe jata.




wo maang leta to usay mohabbat ka darya deta ,
us ne to shayed ek qatra hi churana chaha,

lot aata to raah mein us k moti bichha detay,
us ne to shayed mujay bhoolnay ka bahana chaha,

meri shiddat ki mohabat hi mera jurm ban gai ,
us ne to shayed kuch faasla hi barhana chaha

es qadar dard bhi ab mujay chubta nhi ,
us ne to shayed ye fun hi mugay sikhana chaha,




“Mere wajood me WAFA ki roshni utar de.
Phr itna piyar de k mujh ko chahato me maar de.

Boht uddas tha so utth k tere pas agaya.
Kuch aisi baat kr jo dil ko chain or qarar de.

Suna he teri 1 nazar sanwarti he zindagi.
Jo ho sakey to aaj meri zindagi sanwar de.




Ek Tmana Hai Faqt Mujh Pe Mehrban Raho♥
Tum kisi Aur Ko Dekho To Bura Lgta Hai,

Meri Chaht Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho♥
Ghair Ka Hath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,

Arzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhon♥
Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,

Roz O Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh ko♥
Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai,

Ye Meri Rooh Tarasti Hai Tmhari Khushbo Ko
Tum Kahein Aur Jo Mehko To Bura Lagta Hai♥




Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhti Hoon
Mein Tanhaiyon Se Dosti Ka Jawaz Rakht Hoon

Woh Ager Chaly Mere Sath Do Qadam
Phir Dekho Mein Kesi Perwaaz Rakhti Hoo

Khawahishon Pe Daal Rakhi Hai Kamand Sabr Ki
Dabaa Ke Dil Mein Jazboon Ki Awaaz Rakhti Hoon




Meri TabahiyOn Mein Tera Haath Hai Magar,
Main Sab Se Keh Raha Hon Muqadar Ki Baat Hai…




Howa Hai Tujh Se Bicherney Ke Baad Ab Maloom,,
Ke Tu Nahin Thaa Tere Sath Ek Dunya Thi …!!!




Suno! Naraz na ho Humse, Suno na yun door jao Mujhse,
Hum Khud wo hain Jin ko, manana bhi nahi aata,

Kisi se kabhi Hum ne, mohabbat Jo nahi ki hai,
Mohabbat kis tarha hoti hai,

Yeh jatana bhi nahin aata Humein,
Suno! Naraz na ho Humse,

Na koi Phool Tum jaisa ki mehak uthe,
Haare hue logon sey yon rootha nahi karte,

Suno! Is kadar naraz na ho humse………!!!!