Sunday, August 28, 2011

Bas Itni Si

Bas Itni Si Guzarish he,
Na Sagar se Moti chahta hu, Na Samandar se Pani chahta hu,
Na Suraj se Roshni chahta hu, Na Rat se Andhera chahta hu,
Na Phulo se Khushbu chahta hu, Na Bhavro se Git chahta hu,
Na Badal se barsat chahta hu, Na Asman se Sitare chahta hu,
Bas ek hi Sapna he Mera, Bas ek hi Khvahis he Meri,
Bas itni si Guajarish he Meri ke me Sirf Tuje chahta hu,
Bas itni si chahat he ki Tere Dil me Meri Sanso ko Panah chahta hu,
Tere Dil me Meri Dhadkan chahta hu, Meri har Ruh me Tera Asar chahta hu,
Teri Ankho me Mera Pyar chahta hu, Mere Dil me Teri Tasvir chahta hu,
Bas itni si Guzarish he
DHANANJAY Tere Dil Mere liye thoda sa Pyar chahta hu…

Saturday, August 27, 2011

Is Shehar

Is shehar e sitamgar me wafa dhond rahe hein,

Nadan hein hm b k ye kia dhoond rahe hein,

Hum lOog muqadar k sikandar to nahi hein,

kia soch k phir Aab e baqa dhoond rahe hein,

khamosh fizaOon me ye bechain parindey,

Es Habs k mosam me hawa dhoond rahe hein,

Jo Dil se nikaltey hi tere Qalb ko chhu le,

Hm Aj wohi harf e Dua dhoond rahe hein,

Ik shakhs ne maanga tha kabhi hum ko Dua me DHANANJAY,

Us shakhs ko aaj tak Ba’khuda dhoond rahe hein….




Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Zindagi Ka Saleeqa Kahan Hey Humain Ab Dugmagate Hain Qadam
Tum Ho ZINDGI Meri Hum To Bar Bar Yehi Kehte Hain

Hey Husrat-e-Dil Key Koi Bhi Pal Na Teri Yaad Se Gafil
Hum Soye Kahan Hain Bus Jagte Rehte Hain

Itna Chale Hain Ke CHal CHal Key Thak Gaye Hain
Sitare To Buhat Hain Per Hum Tumhain CHAAND Kehte Hain

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain DHANANJAY
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Sunday, August 21, 2011

Sadma

Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main

Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main

Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main

Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath
Har roz ek shakhs naya dekhta hun main

Na jane kis ada se liya tune mera nam
Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
Do char sal umr mein tujhse bara hun main

Jaga hua zamir wo aina hai DHANANJAY
Sone se pahale roz jise dekhta hun main…

Saturday, August 20, 2011

Palkain Bhighona

Kabhi daman kabhi palkain bhighona kis ko kehte hain?
Kisi mazloom se pööcho k “RONA” kis ko kehte hain,?

Kabhi meri jagah khud ko rakho phir “JAAN” jao gè,
K dunyä bhar k dukh dil main “SAMONA” kis ko kehte hain,

Meri aankhay mere chehry ko ik din “GHOAR” se dekho,
Magar mät Poochna “WEERAAN” hona kis ko kehte hain.?

Tumhara dil kabhi pighley agar “GHAM” ki hararat se DHANANJAY,
Tumhain maalum ho jaye ga “KHONA” kis ko kehte hain…

Friday, August 19, 2011

Ro Ro K

Bara dushwaar hota hai
zara sa faisla karna
k jeevan ki kahaani ko biyaan e be-zubaani ko
kahaan se yaad rakhna, kahaan se bhool jana hai
ussay kitna batana hai,ussay kitna chupana hai
kahaan ro ro k hansna hai
kahaan hans hans k rona hai
uss anchal k kisi konay ko kitna bhigona hai
kahaan awaaz deni hai
kahaan khaamosh rehna ha
kisi dukh ko kahaan par
koun si shiddat se kehna hai
kahaan raasta badalna hai
kahaan se laut aana hai
DHANANJAY
zara sa faisla karna

Thursday, August 18, 2011

Tere Aane Ka

Tere aane ka silsila nikla,
Thoda socha to ye pata nikla,
Ranj ka sara khel hai chahat,
Sab ka ek ye hi fesla nikla,
Door duniya se ghar basa leta,
Par mera ghar tera dayera nikla,
Mere bare mai sochta hai wo,
Kaise wo bawafa nikla,
Kaisi ye aag hai bata de mujhe,
Jisko dekha wo diljala nikla,
Baat bebaat ka fasana tha,
Kitna muddat mai fesla nikla,
Jiske ghar mera aana jana tha,
Wo shaksh mujhe mar mita nikla,
Aaj to had hi ho gayi “
DHANANJAY
Bewafa sara kafila nikla.

Wednesday, August 17, 2011

Jo Na Hona Tha

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon,
Raha mujhse wo juda kyun, mai ishi soch mai hoon,

Youn to har shay mai hai uska hi chamakta chahra,
Dil e beemar ka ek wo hi to masheeha hai,


Phir na jane wo mujhse hai khafa kyun, main ishi soch mai hoon.

Meri chahat ka nighebaan hai wo mera sanam,
Meri khushiyon ka ek wo hi to khajana hai,


Phir in haathon ki lakeeron ke alag nishan kyun, main ishi soch mai hoon.

Uske aane se to har shay mai roshnayi hai,
Wo mahakta hai to baagon mai aati hai bahaar,


Phir wo mera shahe khuba mujhse ba-dua kyun, main ishi soch mai hoon.

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon DHANANJAY .
Raha mujhse wo juda kyun, main ishi soch mai hoon.

Tuesday, August 16, 2011

Kbi Mil K B

Ye Ulfaten b ajeeb hen, Ye Chahten b ajeeb hen
Kbi Mil k b na Pas hain Kbi pas ho k b na mil saky

Kbi Yad ayi to Beshumar, kbi Ro diye to Behisab
Ye Dil ki Halten b ajeeb henye Sazishen b ajeeb hen

Kbi Lrzishenkbi Rnjishen, Kbi DurianKbi Mjburian
Ye Uljhanenb ajeeb henYe Mushkilen b ajeeb hen

TUM hansty to Sirf Mery Liye, TUM Roty to sirf mery liye DHANANJAY
Ye Khahishen b ajeeb henYe Hasraten b ajeeb hen.

Sunday, August 7, 2011

Khon E Dil

lab-e-Khamosh se izhaar-e-tamanna chahe
baat karane ko bhi tasvir ka lahaja chahe

tu chale sath to ahat bhi na aye apni
daramiyaan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe


zahiri ankhon se kya dekh sakega koi
apne baaton pe bhi ham faash hona chaahe


jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamein
sar chupane ke liye vusaat -e-sehara chahe


Khvaab mein roye to ehasas ho sairabi ka
ret par soyein magar ankh mein dariya chahe


bhed carh jaun na main apne hi Khair-o-shar ki
Khon-e-dil zabt kare zaKhm tamasha chahe


zindagi ankh se ojhal ho magar Khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe


aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kataa
ab Khuda-band se Khairiyat-e-farda chahe


aise tairaak bhi dekhe hain DHANANJAY hamne
Garq hone ke liye bhi jo sahara chahe

Saturday, August 6, 2011

Chupke Se

Kabhi Zindagi Kahin Rangoon Mein, Dhal Jaaye…….!
Kabhi Maasoom Aankhoon Mein, Kaai Mousam Simat Jaain…….!

Yunhi Chupke Se Dil Mera, Tumhaare Dil Mein Utar Jaaye…….!
Kabhi Halki Si Aahat Par Thami, Dharkan Machal Jaaye…….!

Kabhi Yaadoon Ke Shehroon Mein, Kaai Baadal Baras Jaain…….!
Kahin Koi Justuju Ho To, Tumhaara Aks Mil Jaaye…….!

Koi Gham Na Rahe Baaki Is Dil Mein, Mere Jaana…….! DHANANJAY
Rahe Jahaan Bhi Dil Mera Par Dil-E-Dharkan, Tumhaare Paas Reh Jaaye