Monday, September 5, 2011

Farishta

Chalo Kuch Dair Hastay Hain …
Muhabbat par Inayat par …
K b-bunyad baten hain …
Sabhi rishtay Sabhi Natay …
Zarurat ki Hain Eejaaden …
Kahin Koi nahi merta Ksi k Wastay jana …
K sub hai Phair lafzoon ka …
Hai sara Khail herfon ka …
Nahi hai mehboob koi b …
Sabhi Jumlay say kastay hain …
Chalo Kuch dair Hastay hain …
Usi ko Yaad kertay Hian …
jisay hum Zeest Kehtay hain ..
K lena Sans Bin jis k …
Humain Ik Jurm Lagta Tha …
Bala ka taiz Lagta Tha …
Jo Saya Bun k Rehta Tha …
Juda Ab Us k rastay hain 
DHANANJAY
Chalo kuch Dair Hastay hain



Na wo farishta ho Na farishtay Jaisa ho …
Mujhay Talash hai us ki jo mere Jaisa Ho …
Mere Khaloos ko Pehnchanta ho Bus Kafi hai …
Woh Koi b ho Kahin b Ho Kaisa Ho …
Ager kabhi Roth jaown main us say To…
Muskura k Manay Wo aisa ho …
Dukhon main Hasnay ka Hunar Janta ho …
Ek aisa Hum Safar Jo Samander ki tarah Gehra ho …
Umer Bher Sath chalay Woh Aisa ho 
DHANANJAY
Mujhay talsh hai us ki Jo mere Jaisa ho …

No comments:

Post a Comment