Sunday, January 6, 2013

Ussi Ke Aas Main Hai Dil

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Haal e dil to khul chuka is sheher mein har shakhs per,
Haan magar iss sheher mein ik bekhabar bhi dekha hai...


Hi friend’s                
This is just poem and shayari,


Ab aur jeeney ki surat nazar nahin ati,
Kisi tarah bhi achi khabar nazar nahin ati,

Ussi ke aas main hai dil ka hujraa tareek,
Woh roshni jo kabhi mere ghar mein nahin ati,

Woh meherbaan hai to mehraab-o-baam tak na rahe,
Yeh dhoop kyon pas-ey dar o deewar nahin ati,

Hayaat mein ab koi aesa morr nahin,
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar nahin ati,

Qabooliyat ki hai gharri to us ko maang hi loon,
Ke yeh gharri kabhi baar-e-dagar nahin ati,

Saraaye khaana dunyiyaa main shaam hoti hai,
Musaafiron ko naveed-e-safar nazar nahin ati..




Tumhain fursatain jo milain kabhi meri wehshaton ko qarar do,
Hon apnay aap say bekhaber meri zindagi sanwar do,

Mujhay saath apnay lay chalo kisi khawab wadi k dar talak,
Mujhay nazar-e-husn-e-bahar do meri chasham-e-tar ko khhumar do,

Iss chammon ke saari ranginiyan tum apnay khatay main daal lo,
Mujhay dard do mujhay ashk do mujhay gul k badlay khhar do,

Main daastane-e-khizan sehi mera ziker ab bhe howa’on main,
Meray hisay ke hain jo neamatain meray zard mazi main dal do,

Hon payar ke purnum sada mujhay rasm-e-ulfat ka kiya pata,
Koch waqat-e-fursat nikaal ker ik shaam mujh ko udhhar do,

Mera mun kabhi nehi manta teray dar ka bun jaon gada*,
Meray lafz bun jaien sada mujhay payar do mujhay payar do,

Nehi aaj tak jo ho saka gham-e-hijer ka ho ab bhala,
Meri zeest jis say guzer sakay mujhay aisay gham hazar do,

Teri merzi meray na khuda gar sunn lay shaukat ke nida*,
Mujhay day sako tau kinara do ya dooor sahil utaar do.

(gada;beggar, Nida;call)




Dhananjay Parmar

Tuesday, January 1, 2013

Raah Main Kayi Morr Hain

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Jo mukhaalif aaj hai mumkin hai kal hamdard ho,
Apne dushman se bhi umeed-e-wafaa rakhta hoon mein...


Hi friend’s                
This is just poem and shayari,


Chammak rahi hai paron mein urran ki khushbu,
Bhulaa rahi hai bohat asmaan ki khshbu,

Bhattak rahi hai purani dilayiyaan orrhey,
Haweliyon mein mere khaandan ki khushbu,

Sunaa ke koi kahaani humain sulaati thi,
Duaayon jesi barrey paandaan ki khushbu,

Woh atardaan sa lehjaa mere bazurgon ka,
Rachi bassi huyi urdu zubaan ki khushbu,

Amaarton ki bulaandi pe koi mausam kya,
Kahan se agayi kachey makaan ki khushbu,

Gulo’n pe likhti hui La Ilaha Ill Allah,
Paharriyon se utarti azaan ki khushbu..



Maj. Jennifer Helton, a navigator for the 165th Airlift Squadron, hugs her son, Kaiden, next to the flight line of the Kentucky Air National Guard Base in Louisville, Ky., Nov. 12, 2012. Helton was one of 58 Kentucky Air Guardsmen returning from a four-month deployment to the Persian Gulf region. (U.S. Air Force photo by Airman Basic Joshua L. Horton) (Nov – 15 – 2012)

Yunhi be sabab na phira karo, koi shaam ghar mein rha karo,
Woh ghazzal ki sachi kitaab hai usey chupke chupke parha karo,

Koi hath bhi na milaye ga jo milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara fasiley se mila karo,

Abhi raah main kayi morr hain koi aye ga koi jaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya usey bhoolne ki dua karo,

Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo,

Kabhi husn parda nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein,
Jo mein ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,

Nahin be’hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Usey itni garmi-e-shoq se bari dair tak na takka karo,

Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke pas hai,
Yeh tumharey ghar ki bahaar hai, usey aansuyon se haraa karo.



Dhananjay Parmar