Saturday, October 27, 2012

Mere Aesaab Mein

Dhananjay Parmar


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka
Khuda Ka Khalq Hai Raabta Mohabbat Ka
Thay Mere Chehray Pe Bhee Khaal-o-Khad Mohabbat Ke
Ke Mere Saamnay Tha Aaina Mohabbat Ka
Jahaan Ruki Mein, Wohi Manzil-e-Mohabbat Thi
Chali Tou Saath Chala Raasta Mohabbat Ka
Jahaan Andheray Nazar Aaye Nafraton Ke Mujhe
Jalaa Dia Hai Waheen Per Diaa Mohabbat Ka
Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat
So Ham Ne Bhee Wahan Sajda Kia Mohabbat Ka
Hamain Khabar Hai Ya Phir Hai Khabar Mohabbat Ko
Jo Qarz Ham Ne Kia Hai Adaa Mohabbat Ka
Wafaa Ka Badlaa Wafa Hee Hai Shahida Tasneem
Hai Pur-Khuloos Mohabbat Silaa Mohabbat Ka



Mere Aesaab Mein Ik Jo Fariyad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Aur Wehm-o-gumaan Jo Abaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Mujh Pe Taari Raha Us Ka Ehsaas Baad-e-sabaa Ki Tarah,
Aesa Lagta Hai Jese Chaman-zaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Ab Ke Yoon Bhi Hua Ke Safar Ne Mujhe Raasta Na Diya,
Faasilon Se, Hadhon Se Jo Azaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Mere Ehbaab Ne Bhi Kabhi Na Kiya, Woh Mera Zikr Tha,
Tere Ashaaq Ke Lab Pe Fariyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Marhalaa Koi Tou Aaye Tajdeed Ka, Phir Teri Deed Ka,
Shaam Mehboos Thi, Soch Barbaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Kuch Bhi Karne Ko Gar Thaan Lain To Humain Bi Kuch Parwah Nahin,
Mere Fikr-o-amal Ko Jo Seyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Apne Baarey Kabi Sochte Taaj Hum Bhi Majboor They,
Hum Ne Majnoon Kiya Aik Iftaad Thi, Woh Teri Yaad Thi..
(aesaab;thoughts)(ehbaab;relatives)(marhalaa;phase)(mehboos:sad)(seyaad;suited)(ashaaq;lover)


Dhananjay Parmar

Friday, October 12, 2012

Chala Gaya

Dhananjay Parmar


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya

Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya


Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya


Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya


Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya


Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya


Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya


Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya



Dhananjay Parmar


Thursday, October 11, 2012

Khafa Tou Tha Wo

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Ae Maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki Zahar khaaye zamaane guzar gaye,

O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye,

Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,

Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye,

Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

Kya kya Tavaqqoat thi aahonn se ai khumaar
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye


Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila


Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila


Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila


Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila


Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila



Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Sunday, October 7, 2012

Tumko Yad He

Dhananjay Parmar


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi.
Tumko yad he jab maine ye hamaqat ki thi.
Use raazdan smajh kar bataya tha haal-e-dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.
Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Mane ik naam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.
Us ko chor ke hanste hoye ghar aa ke.
Itna roye the ke ankhon ne qayamt ki thi.
Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Mane bas itna hi bataya ke muhabbat ki thi.



Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di
Aazmaanay Ki Intehaa Kardi
Teer Tohfay Mein Bhej Kar Osne
Zulm Dhaanay Ki Intehaa Kardi
Chonk Kar Naam Poochnay Waalay
Bhool Jaanay Ki Intehaa Kardi
Jeet Ne Maat Orh Li Goya
Sir Jhukaanay Ki Intehaa Kardi
Dil Ko Nasoor Kardlia Aakhir
Ghaao Khaanay Ki Intehaa Kardi
Phir Palat Kar Kubhi Nahee Dekha
Osne Jaanay Ki Intehaa Kardi
Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi
Ta-Falak Ho Gaya Dhuwaan Sa Batool
Raakh Uraanay Ki Intehaa Kardi



Wednesday, October 3, 2012

Yeh Rah Guzar Hai

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Jab pyaar kisi se hota hai kya shokh zamane lagte hain,
Marne ke sahaarey milte hain jeene ke bahane milte hain,

Mehfil mein kabhi jo log humain ik aankh utha kar na dekhen,
Woh tanhaiyon mein aa ke humain kyon itne suhaney lagte hain,

Bachpan ki umangon ke rukh se phir kya kya aanchal uthte hain,
Maazi ke khayalon mein hum ko jab yaar puraney milte hain,

Yeh rah’guzar hai ulfat ki, yahan pass kahan, ehsaas kahan,
Yahan hamrahi apne apne dukh dard sunaney milte hain,

Yu’n tanha tanha kuch bhi nahin chahat ka bane tab peera’hn,
Jab husn aur ishq ke aapas mein sab taaney baaney milte hain,

Gar baat barhi to phir kya hai? aye jane tamana! dar kesa ?
Pardon mein rehne walon ke kya kya na fasaney milte hain,

Kuch tanha tanha Saaqi bhi rehte hain khayalon mein kho kar,
Jab taaza ghazal keh lete hain phir hum ko sunaney milte hain..



Dhananjay Parmar