Sunday, September 18, 2011

Ek Shaks

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe

Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou

Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia

Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay “Dhananjay”

Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!




Hoon To Khafa Us SE,

Per Janay Phir B Kiyn…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,

Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,

Tu MERA Hai,

Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai “Dhananjay”….!!




Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai

Meray Charo’n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho’n K Azaab Say

Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta’ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee’n

Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo’n Warq Warq

Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao’n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar “Dhananjay”

Sar-e-Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai




Rootha agr tujh sy to is andaz say rothon ga…

Tere shehar ki matti b “Dhananjay” ka wajod ko trsey gi…


No comments:

Post a Comment