Wednesday, August 15, 2012

Kartay Ho Dil Lagi


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Beautiful Kids 2006 to 2011
Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab
Aur Os Per Ye Be Rukhi Sahaab
Pyaar Aur Wo Bhee Ham Karain Tum Se ?
Ham Ko Pyaari Hai Zindagi Sahaab
Ab Wo Saanson Ka Silsila Bhee Nahi
Le Lo Jo Hain Bachi Kuchi Sahaab
Tum Jataatay Ho Pyaar…..Vyaar Magar
Ham Ko Lagtay Ho Ajnabi Sahaab
Is Mein Kuch Aap Ka Bhi Hissa Hai
Ye Jo Palkon Pe Hai Nami Sahaab
Ye Andheron Ka Ik Tamaasha Hai
Aap Kehtay Ho Roshni Sahaab
Ab Wo Qisson Mein Mil Sakain Shaayad
Pehlay Hotay Thay Aadmi Sahaan
Beautiful Kids 2006 to 2011
Aaj Kal Ho Kis Ke Chakkar Mein ?
Baat Loogon Se Ye Suni Sahaab
Aap Hain Bawafa, Tou Yun Hee Sahi
Aap Ki Baat Maan Li Sahaab
Tum Ko Bhoolay Tou Ye Laga Ham Ko
Dard Mein Kuch Howi Kami Sahaab
Dushmani Ne Thakaa Dia Ham Ko
Ham Se Karlo Ab Dosti Sahaab
Baat, Kia Hai Jo Khaaye Jaati Hai
Tum Ne Poochi Na Kuch Kahi Sahaab





Kab Tak Raho Ge Aakhir Yoon Door Door Hum Say?
Milna Paray Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Say..!
Daman Bichaane Walay Ye Be-Rukhi Hai Kesi?
Keh Do Ager Hua Hai Koi Qasoor Hum Say..!
Hum Cheen Lenge Tumse Ye Shan-e-Benayazi,
Tum Mangte Phiro Gay Apna Garoor Hum Say…!!




Beautiful Kids 2001 to 2010

Mein Ne Dekha Deewanon Ko Shaam Ke Baad
Dhoond Rahay Thay Weeranon Ko Shaam Ke Baad
Tareeki Phir Saaray Aib Chhupa Le Gi
Le Aana Ghar Mehmaanon Ko Shaam Ke Baad

Mein Ne Oska Sog Manaaya Kuch Aisay
Khaali Rakha Paimaanon Ko Shaam Ke Baad

Yaad Karay Jab Mujhko Teri Tanhai
Dekha Karna Guldaanon Ko Shaam Ke Baad

Farhat Chaand Ke Khauf Se Karlaita Hun Band
Kamray Ke Roshan Daanon Ko Shaam Ke Baad





Beautiful Kids 2008 to 2011



Beautiful Kids 2001 to 2010
Meri ulfat wafa sab tere waaste,
Rahaton ki dua, Sab tere waaste,
Haal-e-dil se mere kab tu waakif na tha,
Phir bhi jo kuch likha, Sab tere waaste,

Tere aashiq nikle pata dhoondne,
Hain wohi la-pata, Sab tere waaste,

Yeh andhera, Seyahi mujhe somp de,
Rang-e-Qos-e-Qaza, Sab tere waaste,

Bass ke apnayiyat ka agar jaam ho,
Tou mere saaqiya, Sab tere waaste,

Aere-Ghere jo they kuch mere aaashna,
Woh taluq bhi tha, Sab tere waaste,

Aaj Tahir ne apno ka rakha bharam,
Kis liye aye Khuda, Sab tere waaste…



Ye aaankh roney ki shiddat se laal thorhi hai??
Malal hai magar itna malal thorhi hai??
Bus apne wastey hi fikr-mand hain sab log..
Yahan kisi ko kisi ka khayal thorhi hai??

Paron ko kaat dia hai urhan se pehle..                  
Ye khof-e-hijr hai, shoq-e-wisal thorhi hai??

Maza to jab hai k haar k bhi hanstey raho..
Hamaisha jeet hi jana kamal thorhi hai??

Lagani parhti hai dubki ubharney se pehley..
Gharoob honey ka matlab zawal thorhi hai??



Beautiful Kids 2005 to 2011


Dhananjay Parmar


Friday, August 3, 2012

So Baar Ujar Kay

Dhananjay Parmar


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon,
Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko
Shayad Mein Kisi Mein Kho Giya Hoon,
Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai
Main Kab Ka Udaas Ho Chuka Hoon,
Andha Hoon Pkar Le Haath Mera
Ay Hijar Ki Shab Mein Be Asaa Hoon,
Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish
Main Nok-e-Sinaa Pe Saj Giya Hoon,
Dariya Ko Shikast Di Hai Maine
Mashkeeze Mein Piyas Bhar Raha Hoon,
Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko
Kat`te Howe Haath Ki Dua Hoon,
Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se
Kehne Ko Main Sab Se Ashnaa Hoon,
Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se
Main Shaher Ka Akhri Diya Hoon,
Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse
Main Shab Ko Badan Pe Aurhta Hoon,
“Mohsin” Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa ?
Main Yoon Bhi Misaal-e-Naqash-e-Paa Hoon.



President Barack Obama works on his remarks in the Outer Oval Office before making a statement to the press regarding the Senate's vote on the Budget Control Act of 2011. Pictured, from left, are: Director of Communications Dan Pfeiffer; Press Secretary Jay Carney; Jon Lovett, Associate Director of Speechwriting; and Senior Advisor David Plouffe. (Official White House Photo by Pete Souza), Tuesday, Aug. 2, 2011



Khaali Kaaghaz Pe Hurf Sajaaya Karta Tha
Tanhaai Main Sheher Basaaya Karta Tha
Kaisa Paagal Shakhs Tha Saari Saari Raat
Deewaaron Ko Dard Sunaaya Karta Tha
Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baaton Par
Aur Phir Khud Ko Aap Hansaaya Karta Tha
Jalnay Lagti Lahoo Main Judaai Tou Ro Daita
Tanhaaion Ki Khaak Uraaya Karta Tha
Chehray Say Tera Rog Chupaata Tou Hans Daita
Aankhon Main Teri Yaad Manaaya Karta Tha
Yaaro Be Waqt Hua Pyaar Usay Lay Dooba
Jo Loogon Ko Pyaar K Gur Sikhaaya Karta Tha..



President Barack Obama jokingly pretends to tape White House Videographer Arun Chaudhary backstage before a town hall meeting at ElectraTherm, Inc. in Reno, Nev. , Thursday, April 21, 2011

Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga
Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga
Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga



President Barack Obama receives an economic briefing from Brian Deese, Deputy Director of the National Economic Council, in Chilmark, Mass. (Official White House Photo by Pete Souza) Wednesday, August 24, 2011

Dhananjay Parmar