Tuesday, May 31, 2011

Lamhon

Khuwabon Ki Dehleez Pe Sona ‘Acha Lagta Hai’
Kuch Lamhon Ko Uska Hona ‘Acha Lagta Hai’

Khail Khail Mai Jewan Bhr K Dukh Mit Jate Hain
Kho Kr Pana, Paa Kar Khona ‘Acha Lagta Hai’

Dil Walon Ko Dekh K Woh Aise Khush Hota Haii
Jaise Bachey Ko Khilona ‘Acha Lagta Hai’

Kabhi Kabhi Dil Bhar Ata Hai Hunstey Hunstey “DHANANJAY”
Kabhi Kabhi Dil Khol Kar Rona ‘Acha Lagta Hai’

Bohat Din

Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai
Yahan dushman ke hathon yaar bikta hai

Yahan insaan ka kaatil insaan milta hai
Yahan oonchey logon ka mizaar bikta hai

Yahan lagte hai bazaron mein sharab ke theiley
Yahan khuda ki khudai ka ikhtiyaar bikta hai

Yahan kha ke bhi sab kisi ke pait nahin bhartey "DHANANJAY"
Yahan insaniyat bikti hai yahan meyaar bikta hai






Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne
Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne

Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr
“DHANANJAY”
Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne..!!’

Monday, May 30, 2011

Hua Nahi

Ye Jo Dasht-e-Dard Hy Ishq Ka
Mujhy Is Se Koi Gila Nahi

Ye To Zindagi Ka Asool Hy
Kabhi Apna Koi Hua Nahi

Ye Jo Silsila Hai Ek Dard Ka
Ye Tohfa Yun Hi Mila Nahi

Tu Jise Jan Kar Bhi Anjan Hy
Wo Raaz Mene Kaha Nahi

Mujhy Apni Khabar To Hy Magar
Teri Soch Ka Kuch Pata Nahi

Ye Jo Ansoo Hen Meri Ankh Mein
Be’Sabab Hi To Ye Baha Nahi

Ye Sadaa Si Jo Hy Goonjti
Wo Lafz Tu Ne Kaha Nahi

Mera Jurm Hy Meri Sadgi “DHANANJAY”
Meri Or Koi Khata Nahi…!!!

Sunday, May 29, 2011

Kuch Sath De

Eik Saza Aur AseerOun Ko Suna Dii jAye
Ya’anii Ab jUram e Aseerii Ki Saza Dii jAye

Us Ki Khwaahish hAi K Ab lOg Na Roiyen Na Hansien
Be HiSsi Waqat Kii Awaaz Bana Dii jAye

DaSht e Naadeeda Ki Tehqeeq zarOorii hAi Magar
Pehlay Jo Aag Lagi hAi Wo bUjha Dii jAye

Sirf jAlna Hi Nahien Hum Ko Bharakna Bhe To hAi
IShq Ki Aag Ko Laazim hAi Hawa Dii jAye

Sirf sOoraj Ka Nikalna hAi Agar Subah To Phir
Eik Shab Aur Meri Shab Sey Milla Dii jAye

Aur Eik Taza Sitam Us Ney Keya hAi Eejaad
Us Ko Is Baar Zara khUl K dUa Dii jAye





Itna to mere haal par ehsan kiya kar,
Ankhon se mera dard pehchan liya kar,

Kuch sath de safar me bohat thak gaya hon mein,
Kuch pal hon tere saath meri maan liya kar,

Afsaney Mohabat k adhurey na chor tu,
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan liya kar,

Muddat hui is AAS par thehra hua hon mein,
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam liya kar

Kr apni zat se wabasta tu mujhe,
Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya kar.

Tuesday, May 24, 2011

Lekin Choro

Sarey wadon Ko Bhula Sakta Hu Lekin Choro
Mai Tumhen Chore K Ja Sakta Hu Lekin Choro..

Tum Jo Har Morr Pe Keh Dete ho KHUDA-Hafiz
Faisla Mai Bhi Suna Sakta Hu Lekin Choro..

Yeh Jo Tumhen Shoq Hai Naye Chehron Ki Deed Ka
Naye Dost Mai Bhi Bana Sakta Hu Lekin Choro..

Ghuroor Agr Tumko Hai Apne Husn Pe
Tou Kamaal Mai Bhi Dikha Sakta hu Lekin Choro..

Yeh Jo Tumhen Maan Hai K Meri Zindagi Tum Ho “DHANANJAY”
Isay Mai Khaak Mai Mila Sakta Hu Lekin Choro.

Monday, May 23, 2011

Yaad Rahun

Ankhon ki tarha raaz hai khulta b nahi wo
Selaab b ban jata hai dariya b nahi wo

Is baar zameen aankh ki banjar hi rahay gi
Is baar to sawan ka sandesa b nahi wo

Us shakhs k pehloo me sakoon kitna hai
jab k Girja nahi
mander b nahi wo

Main yaad rahun usko itna b nahi hai
Khud yaad na aeye mujhe aisa b nahi wo

Us shakhs ki fitrat b “DHANANJAY” Meri trha hai
Jalta hua sehra b hai pyasa b nahi wo…!!!

Sunday, May 22, 2011

Samjhte Hain

Yaar B Raah Ki Deewar Samjhte Hain Mujhe
Mai Samjhta Tha Mere Yaar Samjhte Hain Mujhe

Mai To Yun Chup Hoon K Andar Se Bht Khali Hon
Aur Sub Log Pur-israr Samjhte Hain Mujhe

Mai Tou Badlay Hue Halaat Mai Dhal Jata Hon
Dekhney Waley Adaakaar Smjhte Hain Mujhe

Woh Jo Uss Paar Hain, Un K Liye Iss Paar Hoon Mai
Woh Jo Iss Paar Hain, Us Paat Samjhte Hain Mujhe

Naik Logoon Mai Naik Ginha Jata Hai “DHANANJAY”
Aur Gunahgar Gunahgaar Samjhte Hain Mujhe..

Thursday, May 19, 2011

Rula Na De

Teri Chahaton mein hai apna pan,
Mujhe Dil se kahi ye Rula na de,

Mein Shajar hoon jazba-e-Ishq ka,
Tujhe Ishq mera Sata na de,

Tou Jahan bhi hoga Yaad rekh,
Teri her aada mere sang hai,

Mujhe apni kuch bhi khabar nahi,
Dar yeh hai tou bhula na de,

Mujhe Pass Rekh Mujhe Thaam le "DHANANJAY",
Mujhe Chornay ki Saza Na de

Wednesday, May 18, 2011

Naam Par

Dosti ko maat mat kar dosti ke naam par...
Is tarah ki baat mat kar dosti ke naam par...

Agar bharosa uth aya hai haath mera chhod de...
Talkh yun jazbaat mat kar dosti ke naam par...

Mujh pe pehle hi zamaane bhar ke hai ehsaan bahut...
Aur ehsaanaat mat kar dosti ke naam par...

Dosti se hi yakin apna na uth jaye kahin...
Paida woh halat mat kar dosti ke naam par...

Mujh se koi baat kar khoti khari achhi buri...
Ha magar kuch baat mat kar dosti ke naam par...

Dosti ehsaas hai ehsaas rehne de use...
Behs yun din raat mat kar dosti ke naam par...

Sunday, May 15, 2011

Begharz Jazba

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~
Agar Be-gharz Ho Jazba
Agar Manzil baney Rasta

Agar Chahat k Pardey Main
Koi Lalach Na Ho Lipta
Agar Tum Sonp Do Sab Kuch
Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi
Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy
Kabhi Dukh Nahi Deti
~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~

Friday, May 13, 2011

Mujhy Kaisy

Mujhy Kaisy Yaqeen Aey.!
Mohbbat Tum Ne Bhi Ki Hai.?

Tumhain Jab Bhi Dekha.!
Sada Khush Bash Hi Paya.!

Hmesha Hansty Rehty Ho.!
Kabhi Rotay Nahi Paya.!

Kabhi Gahmgeen Nahi Dekha.!
Hmesha Mast Rehty HO.!

Mohbbat Krny Waloon Pr.!
Kabhi Masti Nahi Chati.!

Kabhi Ronaq Nahi Ati.!
Na Wo Sarsabz Hoty Hain.!

Mohabbat Krny Walay Dil.!
Hmesha Zard Hoty Hain.!

To Phir Kesy Yaqeen Kr Lun.?
Mohabbat Tum Ne Bhi Ki Hy..?

Saturday, May 7, 2011

Yaad Aaongaa

Yeh zara zara si baat par tarhaN tarhaN ke azaab kiuN?
jo kisi sey bhi khafa na ho mujhey us khuda ki talaash hey

mujhey laghzishoN pe har gharri koi tok’ta hey baar baar
jisey kar ke dil ko dukh na ho mujhey us gunaah ki talaash hey

meiN dhooNdta hooN wo khizaaN jisey gulshanoN sey pyaar ho
jisey kisi chiragh sey na bey’r ho mujhey us hawa ki talaash hey

mujhey us nagar ki hey justuju jahaN koi bhi chahata nahi lahu
jahaN hiran ko sheir sey dar na ho mujhey us jaga ki talaash hey

yahaN ik lamhey ke parrao meiN merey sarey phool jhulas gaey
ab jahaaN talkhioN ki tappish na ho mujhey us fiza ki talaash hey

bina humsafar ke kab talak koi musafitoN meiN laga rahey
jahaN koi kisi sey juda na ho mujhey us raah ki talaash hey

in husn-kadoN ke shor sey meri samaa’ateiN heiN ajnabi
ho jis pukaar meiN mukhlisi mujhey us sada ki talaash hey

mujhey deikh kar jo ik nazar merey sarey dard samajh sakey “DHANANJAY”
jo is qadar ho chaara-gar mujhey us nigaah ki talaash hey….




Kon Kehta Hai Woh Mere Bagher Tanha Hoga,
Woh Ik Chiragh Hai Kahin Aur Jalta Hoga.

Yeh To Hum Hain Ek Saakin Si Jheel,
Woh To “Bikhra“ Huwa Ik Dariya Hoga.

Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Des Main,
Usay Kiya Khaber Koi Us Ko Sochta Hoga.

Woh Mere Dard Se Be-Khaber Nahin Tha Magar,
Usay “Dukh“ Baantney Ka Na Saleeqa Hoga.

Itna Naadan Nahin Ke Samjh Bhi Na Sakey Hamko,
Usi Ka “Tazkara“ Meri Har Ghazal Main Huwa Hoga.

Banaya Gaya Tha Hamein Khulus Ki Miti Se,
Hamein Khaber Na Thi Woh Bad Gumaan Hoga.

Main Ne Usay Chaha To Chaata Hi Gaya “DHANANJAY”,
Meri Shiddton Se Ghabra Ker Woh Chal Diya Hoga




Tum Meri Aankh Ke Tevvar Naa Bhula Paaoge ¤¦¤
¤¦¤ An Kahi Baat Ko Samajhoge to Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Humne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe ¤¦¤
¤¦¤ Safaah-e-ziist Ko Paltoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Isii Andaaz Mein Hotey The Mukhatib Mujh Se ¤¦¤
¤¦¤ Khat kisi Aur Ko Likho Ge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Sard Raaton Ke Mehakte Huwe Sanaaton Mein ¤¦¤
¤¦¤ Jab kisi Phool Ko Choomoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Ab Teray Ashk Mein Honton Se Chura leta Hoon "DHANANJAY" ¤¦¤
¤¦¤ Haath Se Khud Inhain Ponchoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤


Tuesday, May 3, 2011

Na Kiya Kar

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar

So baar kaha itni mohabbat nahin achi
So baar kaha itna bharosa na kiya kar

Haalaat hamain aik kabhi honay nahin dengay
Ae DOST meray, meri tamanna na kiya kar

Kya janay ye kis morr pay lay jay zamana
Tu MUJH ko kisi pal bhi elehda na kiya kar

Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh say pyar itna ziyada na kiya kar…!

Monday, May 2, 2011

Sayahi

“Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi…!”
“Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi…!”


“Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par…!”
“Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi…!”


“Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main…!”
“Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!


Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga “DHANANJAY”.!
“Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi”

Sunday, May 1, 2011

Teri Khushbu

teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai


shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai


dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai


zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai


us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai


beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai