Thursday, December 26, 2013

Nazaron Se Nazaron Ki Jabse Mulakaat Ho Gayi

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Uski Mohabbat Ne Itna Mazboot Kiya Mujhe 
FaQat Uski Judai K Siwa Koi Mujhe Todd Na Saka..
Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Nazaron Se Nazaron Ki Jabse Mulakaat Ho Gayi,
Khamoshi Hi Honthon Ki Tabse Jubaan Ho Gayi,

Nazaron Ne Nazaron Se Aisa Kya Keh Diya,
Ki Lafaz Ho Gaye Khamosh Aur Honton Pe Aa Gayi Dua,

Ye Kaisi Hai Aag Dhuan Dikhta Nahi,
Kuch Sawalon Ka Kabhi Jawaab Milta Nahi,

Dil Se Dil Ki Jabse Baat Ho Gayi,
Khamoshi Hi Honton Ke Tabse Zubaan Ho Gayi,

Dil Ne Dil Se Aisa Kya Keh Diya,
Ki Dhadkan Hi Ban Gayi Dhadkano Ki Dava,

Aankhein Karke Band Khawaab Sajane Lage,
Chehre Se Unke Zulf  Hatane Lage,

Nazaron Se Nazaron Ki Jabse Mulakaat Ho Gayi,
Khamoshi Hi Honthon Ki Tabse Jubaan Ho Gayi.
Credit : Arvind Saxena


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Thursday, December 5, 2013

Apnay Bichray Huye Yaaron Ki Bohat Yaad Aayi

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Jise Bhi Dekha Rote Hue Dekha,
Muhobbat Tu Kisi Fakeer Ki Baddua Lagti Hai..

Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Teri aankhon kr isharon ki, bohat yad aayi,
Aaj pat-jharr mein, baharon ki bohat yad aayi,

Jab larkhraata hua nikla, kabhi mehkhaney se,
Teri baahon ke sahaaron ki, bohat yaad aayi,

Jab bhi ponchhe hain, haathön se ye aansu apne,
Teray daaman ke kinaron ki, bohat yaad aayi,

Aaj iss ujray huye sheher me, mohsin humko,
Apnay bichray huye yaaron ki, bohat yaad aayi..
Credit : Mohsin


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Sunday, December 1, 2013

Iqrar E Wafa Kerna Phir Us Se Mukar Jana

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Yaad dilaata hai sardd mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..

Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Aawargi mei “mohsin” is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana

Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana

Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,

Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,

Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,

Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar