Friday, September 30, 2011

Lout Aao

Usay kehna

kitaaboN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool

Us kay lout aanay ka yaqeeN ab tak dilaatay haiN

 

Usay kehna

kay uski jheel si aankhaiN kisi manzar par chaa jaeN

To sab manzar yohiN phir bheeg jatay haiN

 

Usay kehna

kay thandi baraf par koi kisi kay saath chalta hai

tou Qadmon kay nishaaN phir say usi kay

loat aanay kay nishaaN dil par banaatay haiN

 

Usay kehna

kay uski bheeghi aankhoN ka

wo aansoo Sitaaray ki taraH ab bhi hamaiN

shab bhar jaghaata hai

 

Usay kehna

kay baarish khirkiyoN pay us kay

aansu paint karti hai Usi ka naam likhti hai

 

Usay hi gungunaati hai Usay kehna

kay khushbu ‘chaandni

‘taaray ‘ saba ‘ rastay ‘ ghata ‘ kaajal ‘

Muhabbat ‘ chaandni ’shabnam ‘ hawaiN ‘

raat din ‘ baadal Sabhi naraaz haiN

hum say

 

Usay kehna

judai kay darakhtoN par jo sookhi tehniyaN haiN

Wo saary baraf ki chaadar main

kab ki dhak chuki haiN Aur un shaakhoN

pay yaadoN kay Jo patay thay sunehry ho gaye haiN

 

Usay kehna Dhananjay

december so gaya hai

Aur yakh basta wo bheegy January

phir lout aaey hai Usay kehna kay lout aaey.. usy kehna K …. ab Lout aye

No comments:

Post a Comment