Wednesday, August 25, 2010

Jaan

Teri Chahat main hadh se guzar jaoonga Ek Din
Pyar hota hai kya ye dikhlaunga Ek Din

Teri Sangdili ko sehte sehte
Main apni Jaan se guzar jaunga Ek Din

Apni chahatein sare Tujh par Waar ke
Pyar karna Tujhe bhi sikhaoonga Ek Din

Jee na payegi Tu bhi hoke Juda Mujh se
Aisa Pyar Tujh se kar jaoonga Ek Din

Andheron main dhundta reh jayegi Mujh ko
Aisi Be-Rukhi dikhlaoonga Ek Din

Kho kar Mujh ko bahut pachtayegi Sanam Tu
Wafa aisi Tujh se kar jaoonga Ek Din

Aisi Deewangi se Chahoon ga Tujh ko
Bhool jaoge Tum bhi sara Jahan Ek Din

Jaan Teri bhi Labon per ajayegi
Ban ke Khaak jab main Mitti mai mil jaunga Ek Din

Sunday, August 22, 2010

Qadar

Yeh zara zara si baat pe,

Trah trah ke azab kiun?

Jo kisi se bhi khafa na ho,

Mujhe us Khuda ki talash hai,

Mujhe lagzashion se har ghari,

Koi tokta hai bar bar,

Jise kar k dil dukha na ho,

Mujhe us gunah ki talash hai,

Jahan koi kisi se juda na ho,

Mujhe us rah ki talash hai,

Mujhe dekh kar jo ik nazar,

mere sare dard smajh sake,

Jo is qadar ho chara-gar,

Mujhe us nigah ki talash hai,

Muhabbaton se jane kiun,

yaqeen ab to uth chala sa hai,

Wafa bhi khaye kasm jis ki,

Mujhe us wafa ki talash hai

Hawa

zindagi khod ko baratnay ki ada jante hai
zindagi asal kiya hai,ye kazza jante hai

bad banoun ko sahi simt main rakhna sikho
kon se simt ko chalna hai,hawa jante hai

moot ki aankhoun se oojhal nahi hosakta koi
koi bachta nahi,ye sab ka pata jante hai

mast rah ker hi kuzaro tu kuzar jaye gi
zindagi hoosh main aanay ki saza jante hai

baday sar sar chalay sahraoun main k baday musam
us ka jo kam hai,wo baday saba jante hai

apni her kooshish nakam pe pahsoos howa
gerdish-e-waqt mujhay,muj se sewa jante hai..!!

Rasta

Mohabbat k safr mein koi rasta nahin deta...
Zameen wakif nahin banti,falak saaya nahin deta...

Khushi or dukh k mosam sb k apnay apnay hotay hain...
Kisi ko apnay hisay ka koi lamha nahin deta...

Udaasi jis k dil mein ho usi ki neend urti hai...
Kisi ko apni ankhon se koi sapna nahin deta...

Uthana khud he parta hai thaka toota badan apna...
K JAB TAK SAANS CHALTI HAI KOI KANDHA NAHIN DETA....

Sheher

Jane kya aas hai jo hum jiye jate hain,
Gum-e-zindegi hans ke piye jate hain.

Janha dekhte hain nazar ati tanhai hai,
Apni perchai ke hum picha kiye jate hain.

Wo nahi samajhta mere aanso ki keemat,
Hum hain ke unke dil pe dastak diye jate hain.

Dard ki humper nazre inayat bhi zyada hai,
Khud hi zakhm khaker matam kiye jaten hai.

Jinhey pehchan nahi kisi bhi rango ki,
apni zindegi mein unse rang bharwana chahte hain.

Sab rishte atey hain matlab parast humko,
Phir bhi hum sabka aitebaar kiye jate hain.

Saturday, August 21, 2010

Aasmaan

ZameeN Thee Mairi Mager Aasmaan Us ka Tha
Issi Liya Mujhay Khud Per Gumaan Us ka Tha

Main Ab Jo Dhoop Main Jalta HooN Ussi ka hai Karam
Main Jis kee ChaooN main Tha Saibaan Us ka Tha

Woh Jis K Waastay Lerta Raha Tha Main Sab Se
Mairay Khilaaf Hee Her Ik Biyaan Us ka Tha

Woh Jis ne Mujh ko Hamesha Hee Dala Mushkil Main
Yeh Pehli Baar Tha K ImtehaaN Us ka Tha

"Tum Mairi Jaan ho" Yeh Bhee Ussi ka Kehna Tha
"Tum Zakhm-i-Jaan ho" Yeh Bhee Biyaan Us ka Tha

Jo Roshni Ka Mukhalif Tha Sheher main
Tamam Sheher Se Roshan Makaan Us ka Tha

Wednesday, August 18, 2010

Jab Aap

Hasi Phoolon ko aati hai,
Jab aap muskuratey ho…!!

Humari duniya badal jati hai,
Jab aap muskuratey ho…!!

Aapki muskurahat ke aage bhalaa,
kya chand ki rounak…..!!

Huzur khud chand bhi sharmaataa hai,
Jab aap muskuratey ho…!!

Tuesday, August 17, 2010

Haq

Aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vohii Khudaa degaa

Mera qhatil hii meraa mu.nsif hai
kyaa mere haq mein faisalaa degaa

Zindagii ko Qariib se dekho
isakaa cheharaa tumhein rulaa degaa

hamase puuchho dostii kaa silaa
dushmanon kaa bhii dil hilaa degaa

ishq kaa zahar pii liyaa “Dhananjay
ab masiihaa bhii kyaa davaa degaa

Mere Paas

Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana”
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aye
To Darna Mat
“Mere Paas Laut Aana”



Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”



Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana



Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
“Meri Paas Laut Aana”



Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”



Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana “

Thursday, August 12, 2010

Zindagi

Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili,
Jaisi chahte the hum ko woh ulfat nahi mili.

Milne ko zindagi mein kai humsafar mile,
Par unki tabiyat se tabiyat nahi mili.

Chehron mein doosron ke tumhein dhoondte rahe,
Kahin soorat nahi mili kahin seerat nahi mili.

Bahut derr se aaya tu mere pass kya kahun,
Alfaaz dhoondne ki bhi mohlat nahi mili.

Tujh ko gila raha ke tawazzo na di tujhe,
Lekin hamein khud apni mohabbat nahi mili.

Her shakhs zindagi mein badi der se mila,
Koi bhi cheez waqt-e-zaroorat nahi mili.

Tuesday, August 10, 2010

World Of D

Diana, Princess of Wales
All our Princess Diana Blog pages are completely uncommercial, pure private and without any economic use - just to honor Diana.

The Princess of Wales at the White House, November 1985.

Princess Diana: "The worst illness of our time is that so many people have to suffer from not ever being loved"


name:

Diana Spencer
nickname

Lady Di
born:

July 1st, 1961
birthplace of:

Sandringham (Norfolk - England)
parents:

John Edward Spencer (1924-1992)
Lady Frances Spencer (1936)
divorced since 1969
sisters and brothers:

Sarah, Jane, Charles
length:

1.77 m
weight:

unknown
colour of eyes:

blue
colour of hair:

blond
residence:

Kensington Palace in London
marriage:

On July 29th Lady Diana married Prince Charles. She was 20 years old and Prince Charles was 33 years old.
children:

Prinz William (Willie), 21st June 1982
Prinz Henry (Harry), 15th September 1984
dissolution of marriage:

August 28th, '96
died:

August 30th, '97
place of death:

Paris


Biography: Princess Diana, 1961 - 1997Biography: Princess Diana, 1961 – 1997
Life Stations of an incredible woman:





Qatra Qatra

Qatra Qatra Choo Rahi Hai In Labon Ko Zindagi
Lamha Lamha Dil Se Rukhsat Ho Rahi Hai Saans Bhi

Seekh Woh Hum Ne Liyaa Hai Jo Nahin Aata Tha Kal
Thi Nahin Hum Mein Magar Ab Aa Gayee Deewaangee

Roothey Roothey Jaise Mujh Se Hain Ujaale Aaj Bhi
Aaj Phailaata Hoon Daaman Phir Se Bhar De Roshni

Ab Nahin Lamhe Sukoon Ke, Ab Nahin Pal Ka Qaraar
Ab Nahin Woh Zindagi Jo Hum Se Milti Thi Kabhi

Dhoondne Niklaa Hoon Saamaan Kuch Mera Khoyaa Huaa
Jodne Baithaa Hoon Tooti Ek Imaarat Kaanch Ki

Boltaa Hoon Kuch Agar To Hai Badi Ruswaaiyaan
Mere Afsaane Mein Shaamil Hai Fasaane Aur Bhi

Bujh Gaye Saare Diye Jab Hum Ko Aaya Ek Khayaal
Soch Kar Kya Hum Ne Ki Thi Aandhiyon Se Dosti

Aa Nahin Saktaa Hai Woh Kuch Us Ki Hai Majbooriyaan
Jaa Nahin Paata Hoon Main Bhi Uski Jaanib Kyon Kabhi

Ek Zaraa "Dhananjay" Nazar Aati Hai Kuch Umeed Si
Dekhtaa Hoon Kar Ke Koshish Ek Dafaa, Ek Aakhri

Ek Din

sochta hoon ek din kuchh aisa karoonga,
teri zulfon me sokar apne khwabon ko poora karunga.....

teri ye aankhein kar na de mujhe diwana,
phir bhi in aankhon me khone ki main khata karunga,
teri ye mast ada kar na de mujhe aawara,
phir bhi teri har ada ko dekha krunga,

sochta hoon.............................................. .. karunga,
teri zulfon ................................................. karunga,

teri ye surkh honton ki muskurahat .
dekhe bina jee nahi sakunga,
teri yaadon ki barsaaton ne gher rakha hai mukhe,
phir bhi har lamha,har pal yaad main tujhe kiya karunga,

sochta hoon.............................................. ...karunga,
teri zulfon............................................ ........karunga,

tera ye muskurakar mujhse baat karna,
har pal is suhane pal ki main guzarish karunga,
agar nahi mili tum mujhe is zindagi mein,
apne jism ka har hissa bechkar tujhe paane ki main koshish karunga,

sichta hoon.............................................. .....karunga
teri zulfon............................................ .........karunga

tu agar kehde mujhse ke baith jaao,
to zindigi bhar na vahan se uthunga,
tu agar keh do ke so jaao,
to sub-ha qayamat tak main sota hi rahunga,

sochta hoon.............................................. ......karunga
teri zulfon .................................................. ....karunga

Sunday, August 8, 2010

Friendship

Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye,
Laut aao na mere yaar zamane ke liye,

Is liye bhi teri tasveer jala di mene,
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye,

Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari,
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye,

Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein,
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye,

Waqt

Guzre Waqt Ko Bhula Dena Bhi Aasaan Nahi Hota Dhananjay..
Ghamon Ko Hansi Mein Chupa Lena Bhi Aasaan Nahi Hota....

Zaruri Nahi Ke Poori Ho Har Khawahish Lekin..
Apni Khawahish Ko Daba Lena Bhi Aasaan Nahi Hota...

Maana K Tooty Hue Pholoon Se Khushboo Nahi Aati..
Magar Unhe Kitabon Mein Sajaa Lena Bhi Aasan Nahi Hota....

Friday, August 6, 2010

Ajeeb

GAM SE BAHAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN
DARD MEIN DHAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN

SAAYAA-E-VASL KAB SE HAI AAP KA MUNTAZIR MAGAR
HIJR MEIN JAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN

APNE KHILAAF FAISLA KHUD HI LIKHAA HAI AAPNE
HAATH BI MAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN

ZAHAMAT-E-ZARBAT-E-DIGAR DOST KO DIJIYE NAHIN
GIR KE SAMBHAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN

DAAYARAAVAAR HI TO HAIN ISHQ KE RAASTE TAMAAM
RAAH BADAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN

APNI TALAASH KA SAFAR KHATAM BI KIJIYE KABHI
KHAWAAB MEIN CHAL RAHE HAIN AAP AAP BAHUT AJEEB HAIN

Jazbon

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch Aor Smjha Tha
Osay Hansnay Ki Adat Thi Yeh Dil Kch Aor Smjha Tha

Hamesha Oski Aankhon Main Dhanak K Rung Hotay Thay
Yeh Oski Aaam Halat Thi Yeh Dil Kuch Aor Smjha Tha

Mujhay Osnay Kaha Aao Nae Dunya Basatay Hen
Osay Soojhi Shararat Thi Yeh Dil Kch Aor Smjha Tha

Wo Meray Paas Bethi Der Tak Ghazlen Meri Sunti
Osay Khud Say Muhabbat Thi Yeh Dil Kch Aor Smjha Tha

Meray Shanay Par Sir Rukh Kr Kahin Pr Kho Gaee Thi WO
Ye Ik Waqti Enayet Thi Yeh Dil Kch Aor Smjha Tha

Patthar

Ek musabbir ki tarah itna bata do mujhko!
Meri manzil hai kidhar kuchh to pata do mujhko!
Main kisi kaam ka patthar na sahi phir bhi mujhe,
Apni fankaari se hi kuchh to bana do mujhko!
Paav ki thokaron ne likh diya taqdeer meri,
Tum hunar apna dikha karke saja do mujhko!
Hausley tootey 'Dhananjay' raah mein baithe-baithe,
Aik ehsaas mein doobi si sadaa do mujhko!!








Suna Tha

Suna tha hum ne logon se,
Mohabbat cheez aisi hai,

chupaye chup nahi sakti,
yeh ankhon mein chamakti hai,

yeh chehron pe damakti hai,
yeh lehjon mein jhalakti hai,

Dilon ko rulati hai,
Mgr.....????

Yeh sub agar sach hai,
Tu phir hum ko Apne RAB se,

Bhala kaisi muhabat hai,
Na ankhon se jhalakti hai,

Na chehron par damakti hai,
Na lehjon mein sulagti hai,

Dilon ko azmati hai,
Na raton ko rulati hai,

Yeh phir kesi mohabbat hai?
BHALA KAISI MOHABBAT HAI?????

Sunday, August 1, 2010

Ansoo

Agar ansoo baha deta too us ke pass kia rehta.....?
woh muj ko hoosla deta too us ke pass kia rehta...?

nishan muj ko nahi milta koi us tak pohachnay ka
muje apna pata deta too us ke pass kia rehta...?

woh iss man main tha kay jiss kay dam per ab woh zinda hai
main us ka dil dukha deta toO us kay pass kia rehta...?

musafir saray hii phaal(fruit) kha kay apni rah chal daitay
shajar tehni jhuka deta toO us ke pass kia rehta....?

meri yaadon nay hii ab tak usay abaad rakha hai
woh muj koO bhi bhula deta toO us k pass kia rehta..... ?

Koshish

Koshish to ki thi bahut mene per mulakat na hue
Afsos hai ki un se kabhi baat na hue........

Duniya to khub so rahi hai hoke be khabar
Meri bahut dino se magar rat na hue.........

Chup ho gaye ashkon ko mere dekh kar wo log
Jo kah rahe the is baras barsaat na hue........

Likkhi hai kitni ghazle mene unki yad me
Magar afsos tujhse dil ki bat na hue..

Naam O Nishan

Aab kahan pyar mein pakissgi ka naam-O-nishan,
Jism ki bhukh hai aur isske siwa kuch bhi nahi,

Woh saadi beet chuki jisme the lailaa majhnoo,
Aaj to sirf hai duniya mein dikhave ka junoon,
Aur fir dhundte firte hai muhobaat ka sukoon,
Inn iraadon mein gunahon ke siwa kuch b nahi,

Jism ki bhukh hai aur isske siwa kuch bhi nahi,
Aab kahan pyar mein pakissgi ka naam-O-nishan,

Zlum hota hai andheron mein havas palti hai,
Jisme takat hai yaha usski sada chalti hai,
zakhm taaza hai magar, fir bhi churi chalti hai,
marz kuch aise b hai jinki dawa kuch bhi nahi,

Jism ki bhukh hai aur isske siwa kuch bhi nahi,
Aab kahan pyar mein pakissgi ka naam-O-nishan...

Pyaas

Mohabbat Phir Mohabbat Hai
Kabhi Dil Se Nahi Jaati
Lakhon Rang Hai Iske Ajab Hi Dhang Hai Iske
Kabhi Sehra Kabhi Dariya Kabhi Jugnoo Kabhi Aansoo
Hazaron Roop Rakhti Hai
Badan Jhulsa Ke Jo Rakh De
Kabhi Woh Dhoop Rakhti Hai
Kabhi Bankar Yeh Ek Jugnoo
Shab-e-Gham Ke Andheron Mein
Dilon Ko Aas Deti Hai
Kabhi Manzil Kinare Par Sadiyon Ke Musafir Ko
Faqat Ek Pyaas Deti Hai
Aziyat Hi Aziyat Hai
Mohabbat Phir Mohabbat Hai