Monday, March 28, 2011

Muddat Se Aisa

Buhat Muddat Se Aisa Hai, K Tum Khamosh Rehtay Ho,…



Koi Gehra Hai Ghum Shayad, Jisay Chup Chap Sehtay Ho,

Yunhi Chaltay Hue Tanha, Koi Ghamgeen Se Naghma,

Tum Aksar Gungunatay Ho, Doran-e-Guftago Yunhi,

Milein Nazron Se Jab Nazren, Toh Baatein Bhool Jatay Ho,

Kisi Gum Sum Si Halat Mein, Ya Phir Barish K Mousam Mein,

Faqat Itna Hi Kehtay Ho, Udasi Bewaja Si Hai,

Buhat Bojhal Tabiyat Hai, Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay,

Mujhe Tum Yaad Kartay Hooo…! “DHANANJAY”





Itni muddat baad mile ho! Kin sochon main gum rehte ho?

Itne khayef kyon rehte ho? Her aahat se darr jaate ho

Taiz hawa ne mujh se poocha Rait pe kya likhte rehte ho?

Kaash koi humse bhi pooche Raat gaye tuk kyon jaage ho?

Main darya se bhi darta hoon Tum darya se bhi gehre ho!

Koun si baat hai tum main aisi Itne ache kyon lagte ho?

Peeche mur ker kyon dekha tha Patthar ban ker kya takte ho?

Jaao jeet ka jashan manaao! Main jhoota hoon, tum suche ho

Apne sheher ke sub logon se Meri khatir kyon uljhe ho?

kehne ko rehte ho dil main! Phir bhi kitne door khare ho

Raat humain kuch yaad nahin tha Raat bohot hi yaad aaye ho

Humse na poocho hijr ke qisse Apni kaho ab tum kaise ho?

“DHANANJAY” tum badnaam bohot ho Jaise ho, phir bhi ache ho

Friday, March 25, 2011

Kaash Aa Jaye Vo

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

Vo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham “DHANANJAY”
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy……!!




Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai

Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar “DHANANJAY”
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai…….!!




Aadawtain kab tak bharhah k rakhay ga.
ye chahtain kab tak chopa k rakhay ga .

Main ghair hon ye kab tak bataay ga khud ko .
Tu Dil ko kab tak samja k rakhay ga.

Mana Aana perasat hai tu bhi jlay ga umer sari
Atish-e-Ishaq se khud ko kab tak bacha k rakhay ga .

Meri nazroon ko na sahi lafzoon ko to samjta ho ga.
Meri chahatoon ko tu kab taak dubaa k rakhay ga.

Ye Aana bhi Ghazab ki chiz hai jala diti hai sab “DHANANJAY”
Ye payyar Ishaq mohabat tera sab kuch jala k rakay ga




Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do…
Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do…

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do…
Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do…
Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per “DHANANJAY”
Meray halat ko khuch or bigar janay do.


Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko
Tamam Umar Samne Bithaaon Tumko
>Mere Zakhmon Ka Haal Poocho Ager Jaan-e-Jaan
To Ek Ek Zakhm Ki Tafseel Sunaaon Tumko
>Mout Ki Neend Se B Gehri Ek Neend Hoti Hai
Tere Baazuon Ka Ho Takya To Dikhaaon Tumko
>Yehi DUA Hai K Wo Waqt Aaye Ek Baar Phir
Tum Jo Rootho To Hath Jor Kr Manaaon Tumko
>Hr Shakhs Main Mujhe Ek Raqeeb Nazar Aata Hai “DHANANJAY”
Bol Ae Mere ‘HUM NAWA’ Kis Kis Ki Nazar Se Bachaaon Tum ko.

Tuesday, March 22, 2011

Ik Baar Jo Bichray Woh Dobara Nahi Milta

Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta,

Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,

Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,

Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har baar mohabat mai khasaara nahi milta,

Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta

Saturday, March 19, 2011

HIV AIDS



HIV/AIDS
Also called: Acquired immunodeficiency syndrome, HIV, Human immunodeficiency virus
HIV stands for human immunodeficiency virus. It kills or damages the body's immune system cells. AIDS stands for acquired immunodeficiency syndrome. It is the most advanced stage of infection with HIV.
HIV most often spreads through unprotected sex with an infected person. It may also spread by sharing drug needles or through contact with the blood of an infected person. Women can give it to their babies during pregnancy or childbirth.
The first signs of HIV infection may be swollen glands and flu-like symptoms. These may come and go a month or two after infection. Severe symptoms may not appear until months or years later.
A blood test can tell if you have HIV infection. Your health care provider can perform the test, or call the national referral hotline at 1-800-CDC-INFO (24 hours a day, 1-800-232-4636 in English and en español; 1-888-232-6348 - TTY).
There is no cure, but there are many medicines to fight both HIV infection and the infections and cancers that come with it. People can live with the disease for many years.
References and abstracts from MEDLINE/PubMed (National Library of Medicine)