Hi friend’s
This is just
poem and shayari,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast
huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Chup rehney se
kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Phir palkon par
jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai,
pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha
ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha
yun tu
guftagoon bohut huwe unse phir bhi
silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha
silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha
jaane kaise ho
gaya waakif tamaam shehar
daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha
daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha
shartein ek
dusare ki manzoor thi yun tu
par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha
par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha
gahrayi dosti
main naapta bhi kaise
rishta mamara kabhi taqraar tak nahi pohncha
rishta mamara kabhi taqraar tak nahi pohncha
ana-a meri
mujhe izazat nahi deti
faqat isliye zaidi darbar tak nahi pohncha
faqat isliye zaidi darbar tak nahi pohncha
Meray sabar ka imtihan na lay
meri khamishi ko saza na day
jo tery baghair
na jee sakay
usay jeenay ki dua na day
usay jeenay ki dua na day
tu aziz
dil-o-nazar se hai
tu qareeb rag-o-jaan se hai
tu qareeb rag-o-jaan se hai
mery
jism-o-jaan ka ye faasla
kahin waqat aur barha na day
kahin waqat aur barha na day
tujhay bhool k
na bhula sakon
tujhay chah k bhi na paa sakon
tujhay chah k bhi na paa sakon
meri hasraton
ko shumar kar
meri chahaton ka sila na day
meri chahaton ka sila na day
tujhay kabhi
milain agar fursatain
meri shaam phir se sanwar day
meri shaam phir se sanwar day
jo qatal karna
hai qatal kar
yun judaiooon ki saza na day…
yun judaiooon ki saza na day…
Dil ankh ke kehne par safarat nai karta
kuch hai ki abhi uske himayat nai karta
kiss bat pe
rutha hai pata ho to maanaooo
woh ruth to jata hai shikayat nai karta
woh ruth to jata hai shikayat nai karta
har bat me hote
hai usske kai soo matlab
woh bat to karta hai wajahat nai karta
woh bat to karta hai wajahat nai karta
us shakhas ke
wado me wafa aaye kidhar se
vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta
vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta
main usse ruth
ke jata nai ki wo aksar
ruhttho to manane ke zehmat nai karta
ruhttho to manane ke zehmat nai karta
main uske leye
sare zamane se laara hu
woh shakhas jo khud se b bagawat nai karta
woh shakhas jo khud se b bagawat nai karta
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…
lehje se uth
raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya..
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya..
aawaz mein
thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya..
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya..
jane kya us ko
logon sey thi shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..
khud bhi woh
hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…
No comments:
Post a Comment