Friday, March 16, 2012

Sahil Pay Ruk

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,



jgno koi sitaaron ki mahfl main kho gya
itna na kar mlaal jo hona tha ho gaya

parward-e-gaar to janta hai dilooon ka haal
main ji na paoon ga jo usa kuch bhi hi gaya

ab usko dekh kar naheen dharkay ga mera dil
kahna ka mujh ko ya bhi sabaq yaad ho gaya

ab isko dekh kar naheen dharkay ga mera dil
kahna k mujhe ko ya bhi sabaq yaad ho gaya

baadl utha tha sab ko rlaanay kay waastay
aanchal bhi kho gya kaheen daamn bhi khoo gaya

aik larki aik larkay kay kaandhay par so gayee
main ujli dhundi yaadon k kahray main kho gaya



Naseehat roz bikti hy aqeedat roz bikti hy
Tmhary sheher mein logo’n mohabbat roz bikti hy

Ameer-e-sheher k darr ka abhi mohtaj hy mazhab
Abhi mulla k fatwo’n mein shariyat roz bikti hy

Humary khuun ko bhi wo baich daale ga
Khareedaro’n k jhurmat mein adalat roz bikti hy

Najane kia lutf milta hy un ko roz bikne mein
Tawaif ki terha qayadat roz bikti hy

Kabhi masjid k mimbar pr kabhi hujrey mein chup chup k
Mere waa’ez k lehje mein qayamat roz bikti hy

Barii la’chaar hyn jabeenei’n inn ghareebo’n ki
K majbuuri ki mandii mein ibaadat roz bikti hy… !



Soye shajar laraz uthy jesy ke dar gy
kuch chandi ke phool zameen par bikhar gy
Sheshy ka taj sir pay rakhe a rahi thi raat
takrai hum sy chand sitarey bikhar gy
Wo khushk hont rait sy nam mangtey rahe
jin ki talsah mai kai darya guzar gy
chaha tha mai ny chand ki palkon ko choom lo
honton pay mery suhbo ke tary bikhar gy
Mery labon pay chand ke qashen laraz gy
ankhon pay jesy raat ke geso bikhar gy
Sahil pay ruk gy thy zara dair ke lieye
ankhon sy dil mai kitny samundar utar gy
Jin par liki hoi thi mohabt ki dastan
wo chak chak purzy hawa mai bikhar gy
Paya jo muskuraty howay keh uthi bahar
jo zakham pichly sal lagaey thy bhar gy
jin par likhi hoi thi mohabt ki dastan
WO chaak chaak purze hawa mai bikhar gy



Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kr,,
Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,
Iss Ke Siwa Aur Bhi Zamany Ke Kaam Hain,,
Tu Mere Khayalat Be_Dhang Na Kia Kr_,,
Dunia Main Aur Log Bhi Basty Hain Tanha,,
Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr_,,
Aey Raat Sony Dy Youn Tang Na kia kr_,,
Mazboot hon, pr itni bhee nahi hon,,
Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kr_,,
Aey Raat Sony Dy,, Youn Tang Na Kiya Kar..



Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho
Ke Rooth’tay Ho Kubhi Aur Manaanay Lagtay Ho
Gila Tou Ye Hai Ke TUM Aatay Nahee Kubhi Laikin
Jub Aatay Bhee Hou Tou Foran Hee Jaanay Lagtay Ho
Ye Baat Jhon Tumhari Mazaaq Hai Ke Nahi ?
Ke Jo Bhee Ho Ose Tum Aazmaanay Lagtay Ho
Tumhaari Shaayari Kia Hai Bhala, Bhala Kia Hai ?
Tum Apne Dil Ki Udaasi Ko Gaanay Lagtay Ho
Sarwad-e-Aatish-e-Zarreen Sehen-e-Khaamooshi
Wo Daagh Hai Jisay Har Shab Jalaanay Lagtay Ho
Suna Hai Kehkashaanon Mein Roz-o-Shab Hee Nahee
Tou Phir Tum Apni Zabaan Kiun Jalaanay Lagtay Ho ?


Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..
ye haadsa bi meri jaan kabhi to hona tha..
Woh muje torr ke phir jorta raha aksar..
main uske waaste jaise koi khilona tha..
Humen kahin na kahin to bichar hi jana tha
yei haadsa meri zindagi mei aana tha
Woh shaks mujhe saari umar tarse ga..
Naseeb uska “ke usne muje ganwana tha”



Aaja teri har maayusi ko,
Tujhse yun churaa loon main,
Tere har ek ubharte gum ko,
Apne seene se lagaa loon main,

Teri muskan se ho roz
roushan ye jahaan is tarah,
Aansuon ka har katra tera,
Apni palko pe sajaa loon main,

Paya hai tujhe ae dost hatho ki
jin lakeero se maine aaj,
Tujhe kho dene ki
har un lakeero ko jara mita loon main,

Ja na sako tum chodhkar
Mere saath ko kabhi ab,
Ke aa ja tujhe is kadar,
Apni raaho me basaa loon main





Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment