Friday, March 2, 2012

Mujh Say

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura LoMjh Ko
Khony Ka Agr Khaof Hy To
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko
Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo MjhKo
Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko
Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gy
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko
Zindgi B Tere Nam Kr Dain Gy
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko



Ab or kis subha se main aas lagaon
Jab shaam tak b usko main yaad na aun
Wo kho gya hai shayed apni rafaqaton main
Ab barishon k moasum main yaad kya dilaon
Tarpa nahi hai ab tak wo kisi ki judaiyon main
Main apne aansoou ko faryaad kyun banaon
Charcha abhi nahi hai ruswaiyon ka meri
Darta hon kal jahan main ruswa ho na jaon
Kehta raha hon usko mera sath sath chalna
Wo agay nikal gaya hai main kahin bichar na jaon



Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin,
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahin,
Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein,
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupaani to nahin,
Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera,
Yeh ujarrna hai koi nakal-makaani to nahin,
Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat,
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahin..
(Nakal-Makani:Move out, To vacate a residence)


Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao ….!
Udaas Shab Ki “Saleeb” ho Jao ….!
Meri Baanhon Ko Sonp Do Sab Kuch….!
Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao….!
Mujh Mein Utro Meray Lahu Ki Tarhan….!
Meri Rooh Kay “Raqeeb” Ho Jao….!
Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye….!
Aao Meray “Tabeeb” Ho Jao….!
Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch….!
Aaj Aisay “Khateeb” Ho Jao….!



Humne To Banaye Hain Samundar Me Bhi Raste,
Yun Humko Mitana Koi Asan Nahi Hai. .
Do Char Ummidon Ke Diye Ab Bhi Hain Roshan,
Maazi Ki Haweli Abhi Veeran Nahi Hai. .
Mai Teri Mohabbat Me Giraftar Hu Lekin,
Tujhko Mai Khuda Samjhu Ye Imkan Nahi Hai. .
Hain Ye Mere ash’ar Mere Ahad Ki Tasveer,
Ghalib Ki Ghazal Meer Ka Deewan Nahi Hai. .



Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeenn Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata
Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata
Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata
FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata
Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata
(Makeenn:Residents)(Nukta cheen:Interupting a conversation)


Shaam se pehle ik diya jalana chahta hoon,
Main aaj apni mohabbat ko aazmana chahta hoon,
Yeh anaa-parast log hain andar se tootay huye,
Mein yeh baat dunya walon ko batana chahta hoon,
Teri zaat ki mehroomiyan, Tere man ki yeh udaasiyan,
Mujhe moka to de, mein inhe mitaana chahta hoon,
Tere hath mein mere rehber, Tere naksh-e-paa meri manzil ke,
Tujhe mein chilchilati dhoop mein aanchal banana chahta hon,
Cheen lo saharey mujhse, apne paraaye sarey mujhse,
Bas do hosla mujhe, mein khud ko manwaana chahta hoon,
Poocha jo yaaron ne muskurahat ka sabab to kehne laga Waqas,
Mein hansi ke pardey mein dard apna chupana chahta hoon..




No comments:

Post a Comment