Friday, March 23, 2012

Aaj Aaya Hai Wo

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Jis pal ka rehta tha har pal intzaar humein
Aaj aaya hai wo pal, toh juda sa lagta hai
Humse aaj ye khuch khafaa sa lagta hai

Chehra apna dekhe bhi toh kya dekhe hum
Har aaina humein dhundhla sa lagta hai

Yu toh har apna hai paas mere aur begano ka bhi hai saath
Iss pal mein lekin har koi bewafa sa lagta hai

Kuch aise jazbaat samaa rahe the dil mein
aur dard aankhon se chalak raha tha
Aise mein saath diya aapki dosti ne,
dosti ka yeh rishta apna sa lagta hai

Jab tak saath hai ,nibhayenge iss rishte ko

Muskura kar lenge jab bhi lenge naam tumhara
Har khushi ka ye hissa sa lagta hai


Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain



Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
Ke dhoop chayon ka alam raha,judaai na thi
Na apna ranj na auron ka dukh,na tera malal
Shab`e firaq kabhi hum nay yun ganwayi na thi
Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi
Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi
Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
Kisay pukaar raha tha wo doobta howa din ?
Sadaa tiu aayi laikin koi duhaayi na thi
Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi
Ajeeb hoti hay rah`e sukhan bhi dekh naseer
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi




Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment