Tuesday, January 17, 2012

Meri Rooh Mein

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,

Meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye,
Jo sarab ho’n naa azaab ho’n woh rafaqtain mujhe chahiye,

Unhain sama-ato’n ki talaash hain jo calendaro’n sey utar gayain,
Jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye,
Kahin mil sakai’n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya’n,
Jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye,
Jo meri shabo’n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay,
Wohi loug hain meri aarzoo. Wohi sooratai’n mujhe chahiye,
Teri qurbatai’n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko,
Mujhe faasilo’n sey dawam dein teri qurbatai’n mujhe chahiye,

Mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai’n hain meri saibaa’n,
Karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai’n mujhe chahiye….!!!!



Naya ek rishta paida kyun karein hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum

Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri
Koi humgama barpa kyon karain hum
Ye kafi hai k hum dushman nahi hain
Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum
Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum
Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa?
Par ab iss baab ko waa kyon karain hum

Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum

Hamari hee tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karain hum

Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay
To saari umar iifa kyon karain hum
Nahi dunya ko jab parwah hamari
To phir dunya ki parwah kyon karain hum
Barehna hain sar.E.Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karain hum
Hain baashinday issi basti k hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karain hum
Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karain hum
Ye basti hai muslamaanon ki basti
Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum

(Hungama Barpa:Make Noise)(Dawa:Claim)(Ehad:Commitment)(Sar-e-Bazaar:Loud And Clear, In Public)(Baashinday:Humans)


Dhananjay Parmar


No comments:

Post a Comment