Sunday, January 8, 2012

Bas Ap Kaho

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,
Kahan Yea Bass Mein Keh Hum Khud Ko Hosla Detay ..!!
Yahi Buhat Tha Keh Har Ghum Peh Muskura Detay..!!
Hawa ki Doorr Ulajti Jo Ungliyun Say Kabi..!!
Hum Aasmaan Peh Tera Naam Tak Saja Detay..!!
Hamarey Aks Mein Hoti Jo Zakhm Dil Ki Jalak…!!
Hum Aai’ney Ko Bhi Apni Tarah Rulaa Detay..!!
Humein Bhi Roshin’ion Par Jo Dastaras Hoti ..!!
Kabi Chiragh Jalatey Kabhi Bhujaa Detay..!!
Hamaray Paoon Hawa’on Ki Zadh Mein Thay Warna..!!
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay…!!
Ab Uski Yaad Say Uska Badan Tarashtey Hein..!!
Woh Khuwaab Bhi Toa Nahe Tha Keh Hum Bhula Detay..!!
Ussi Kay Wastay Mohsin Kahe Hay Taza Ghazal..!!
Hum Uski Saalgira Par Ab Aur Kiaa Detay…?????
Ana Peh Ch’oat Parey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Duwaan Sa Dil Say Uthey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Meray Leye Kabi Matti Pay Sardion Ki Hawa..!!
Tumhara Naam Likhay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Ujaar Ghar Kay Kisi Be-sad’aa Darechay Mein..!!
Koi Chiragh Jalay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Hajoom-e-Shaher Say hatt kar, Hadood-e-Shaher Kay Baad..!!
Woh Muskara Kar Milay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Jis Aankh Mein Koi Chehra Na Koi Aks-e-Talab…!!
Woh Aankh Jal Kay Bujey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Hajoom-e-Dard Mein Kia Muskurai’yee Kay Yahan ..!!
Khizaan Mein Phool Khilay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Milay Baghair Jo Mujse Bichar Gaya Mohsin..!!
Woh Raastay Mein Rukey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Hamaray Baad Chali Rasm-e-Dosti Keh Nahe..??
Hawa Ki Zadd mein Koi Shamaa Phir Jali Keh Nahe..!!
Bichar kay Jab Bhi Milay Mujse , Pochta Hay Woh Shaks..!
Keh In Dinoo Koi Taza Ghazal Howe Keh Nahe..??
Suna Hay Aam Thi Kal Shab Ko Chaand Ki Bakhshish…!!
Bujey Gharoon Mein Bhi Uthri Hay Chandni keh Nahe..??
Nikal Kay Jissey Howa Apna Dard Awara…!!
Kisi Kay Dil Mein Woh Mehfil Bhi Phir Saji Keh Nahe..??
Woh Reh-guzar Jo Andheroon Mein Saans Leti Thi..!!
Tumharay Naqsh-e-Qadam Say Chamak Utti Kay Nahe..??
Diyaar-e-Hijar Say Aye Hoo Kuch Kaho Mohsin..!!
Keh Shaam-e-Ghum Bhi Kisi Morr Par Mili Keh Nahe…???
Ab aye meray ehsaas-e-junoon–kia mujhey daina?
–Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina–
Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina–
Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo.
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina
Tum mera badan odh kay phirtay raho-
LEKIN|Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina
Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee..
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina
Ek dard ka mela hai–laga hai dil-o-jaan mein..
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina
Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina
Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina
Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!
Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!
Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!
Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,
Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!
Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!


Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment