Thursday, January 26, 2012

Wo Jis Ke Nam

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna
Apnay humaray darmiyan deewar daikhna
Thhokra k aap nay humain achha sila diya
Hum thhay k hum nay chaha so bar daikhna
Lehra diye aap nay parday fizaon main
Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna
Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili
Hum thhak gaeiy simt coo-e-yar daikhna
Janay kahan say aap nay seekhien adawatain
Mushkil nehi thha warna ik bar daikhna
Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohobatain
Palaray main rakh k aap mera payar daikhna
Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq
Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna
Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi
Apnay jigar ke taqat-e-izhaar daikhna
(Palaray:one side of weighing machine)(Maeyeser:Available)(Dushwar:Difficult)


Jaise murda kar diya tha ishq ke ilzaam ne
mujh mein saaNse phuNk di hain aapke paigham ne
Abr, aaNchal, paid, patte, saybaaN, kuchh bhi nahiN
kis jagah lakar milaya hai humeN ayyaam ne
Tere aane ki khabar ne dekh kya kya kar diya
kitne hi deepak jala dale hain meri shaam ne
Raat bhar jaga kiye hain teri yadoN ke tufail
kitne khuwaboN ko buna hai is dil e nakaam ne

Maut bhi nakaam ho kar laut\’ti hai roz roz
Mujhko Zinda jo rakha hai ek tumhare naam ne




Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei
Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei
Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei
Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei
Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei
Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei



Dil-e-Wehshi Ki Yeh Hasrat Bhi Nikali Jaye,
Chaandni Jitni Bhi Mumkin Ho Chura Li Jaye,
Yeh Samundar Bhi To Paani Ke Siwa Kuch B Nahin,
Is Ke Seene Se Agar Leher Utha Li Jaye,
Ishq To Naam Hy Aadaab-e-Pazeerai Ka,
Husn Ke Saamne Bas Aankh Jhuka Li Jaye,
Hum Samjhte Hain Muhabbat Ke Taqazay Lekin,
Kaise Us Dar Pe Koi Ban K Sawali Jay,
Yaad Karte Hain Usy Hum To Yeh Majboori Hai,
Habs Mein kyun Na Zara Taaza Hawa Li Jaye.




Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy…!!!




Dhananjay Parmar


No comments:

Post a Comment