Monday, July 25, 2011

Pathar

“Us ke mehwar se niklu to dunya nazar aye saqi

phir bina uske ye Dil chain na paye saqi

mohabbat to hogayee hum ko us pathar se lekin

ab deko hum ko raas aaye na aaye saqi

wo mil gaya he to lagti he dunya Qadmo me

ye dewangi Dewane ko kaha lejaye saqi

me uski yad se ik pal b ghafil ho nahi paata

phir kese mumkin he wo mujhe bhool jaye saqi

humsa mukhlis usay na milega zamaane me ”DHANANJAY

usay kaho is Dil ki lagi ko Dillagi na banaye saqi…..



 

ab jo bikhray tau bikharnay ki shikayat kaisi”

khusk patton ki hawaun say rafaqat kaisi

main is daur k insaan say mhabat ki hay

jurm sangeen hay tau phr is may riyaayat kaisi

rukh na kisi aur taraf,roo e sukhan k bs meri taraf

ye muhabbat may meri jaan siyasat kaisi

aik patta bhi agar shakh say hota hay juda

kya kahin dil pay guzarti hay qayamayt kaisi

xindagi tujh ko lamho ka safar kehtay hain ”DHANANJAY

tau rah may aa gaye ye sadiyon ki musafat kaisi…!!

No comments:

Post a Comment