Thursday, July 7, 2011

Jis Ne Likha

Kabhi mom ban k pighal gya,
Kabhi girte girte sambhal gya,

Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,

Kabhi tarap utha meri aah se,
Kabhi ashk se na pighal ska.!

Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya,

Wo utar gaya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.

Wo chala gya jaha chor k,
Main wahan se phir na palat ska.

Wo to sambhl gaya Mujhe chor k,
Main bikhar k phir na simat saka…



 

Tum se mumkin ho to phir rok Do saansen meri
Dil jo dharkay ga to phir yaad to tum aao ge…



 

Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Chahatoon kay azaab kia likhoon

Apni auqaat se to waqif hoon
Khud ko mein maahtaab kia likhoon

Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon

Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon

Sadmey pehley bhi seh liye hein magar
Ab jo toota ataab kia likhoon

Tashnagi to na bujh saki
Kitney aaye saraab kia likhoon…!!!



 

“Abhi taaza hay bohat ghao bichar jane ka
ghair leti hay teri yaad sr -e-shaam abhi”



 

Chalo Woh Ishq Nahi Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,

Tu Apni Sheesha Gari ka Na Kar Hunar Zaya
Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,

Main Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata
Main Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,

Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,

Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,

Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon
Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,

Yeh Khud Aziyati Kab Tak “FARAZ”
Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai.

No comments:

Post a Comment