Sunday, July 24, 2011

Saaqi

Ummr jalwon main basar ho yeh zaruri to nahi
Har shab-e-ghum ki sehar ho yeh zaruri to nahi

Chashm-e-saqi se piyo ya lab-e-saagar se piyo
Bekhudi aathoN pehar ho yeh zaruri to nahi

Nind to dard ke bistar pe bhi aajati hai
Un ki aaghosh maiN hi sar ho yeh zaruri to nahi

Shekh karta to hai masjid main khuda ko sajde
Us ke sajdoN maiN asar ho yeh zaruri to nahi

Sab ki nazron me ho saaqi yeh zaruri hai magar “DHANANJAY”
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaruri to nahi….



 

yeh sheher agar sheher hai to sunsaan sa kyon hai

is sheher ka har fard parshaan sa kyon hai

is sheher ke log jisey kehte hain maseeha

woh shakhs mre dard se anjaan sa kyon hia

mitti ka bana hai to ghul kyon nahin jata “DHANANJAY”

pathar ka sanam hai to insaan sa kyon hai



 

Bakhsha Tha Jis Ne Rooh Ko Zakhmo Ka Perahan.
“DHANANJAY” Wo Shakhs Kitna Tabiyat Shanas Tha….!

No comments:

Post a Comment