Tuesday, July 19, 2011

Addawat

!!…Na jany Zamany walon ko kiya addawat hy hum sy…!!!
!!…K jiss ko hum chahain sab Usi k Talab-gar ho jaty hain…!!!


 


Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”


 


Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se…
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se…..

Duniya bhi mili hai
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha khuda se

Aaine main wo
apni ada dekh rahe hain
Mar jaaye ke Jee jaaye koi unki bala se

Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se…
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se…..


 

Jahan pe ishq ki sarhad junoon se milti hai!!!!!….
Waheen pe aa k mile… wo agar mohabbat hai…..


 

‘Abhe masroof hon kafi kabhe fursat me sochun ga,,,,
”k tuj ko yaad rakhne me main kya kya bhol jata hun…!



 


Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota…


 

Kariya-e-jan main koi phul khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye

mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye

us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye

isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye

ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye

zabt ki shahar-panahon ki mere malik
khairgam ka sailab agar mujh ko bahane aye

No comments:

Post a Comment