Wednesday, November 3, 2010

Mahfil

Unka hi jikr aata hai ab meri har baat me.
Kuch paya kuch kho diya jaise unsi mulakat me.
Neend bhi mujhsr jaise rooth gayi hai aaj kal,
Jagti aankho se sapne dekha karta hun raat me.
Aaisa to pahle kabhi tha nhi main,
Kuch to hua hai unse milne k baad me.
Mausam bhi un suhana na laga kabhi,
Beegne laga hun ab har barsat me.
Tanhaiyo me baith kar kuch sochne laga hun,
Jane kaise aansu aa jate hain emir aankh me.
Na bujhao sahama mere mahfil ki "DHANANJAY",
Main tanha nhi hai unki yaad sath me.




Kisi ko Apna Bananey Mei Dair Lagti Hai,

Ek Wada Nibhaney Mei Dair Lagti Hai,

Pyar to pal Bhar Mei Ho Jata Hai,

Magar Unhe Bhulaney mei Umar Lagti Hai.....

Jaan se Bhi Zyada Unhe Pyar Kiya Karte The,

Yaad Unhe Din Raat Kiya Kartey The,

Ab Un Raho se Guzra Nahi Jata,

Jahan Baith kar Unka Intezaar Kiya Kartey The!!




Kya Hua Ger Tera Deedar Nahi
Nazer Pe Ye Haseen Guwar Nahi
Teri Yaadein Tera Khayal Reh Gaya Hai Bus
Mujhko Ab Tera Intzar Nahi
Bhula Doon Tujhko Ye Hai Namumkin
Kyunke Ye Mere Bus Ki Baat Nahi
Tere Khaton Ko Jala To Deta
Mager Mai Tujhsa Samajhdar Nahi
Badnaseebi Hai Tera Na Milna
Aur Kuchh Tu Bhi Wafadar Nahi
Tujhse Nafarat Si Ho Gayi Besaq
Kaise Keh Doon Ke Tujhse Payar Nahi
Phir Bhi Zinda Hain Hum Na Jane Kyun
Zindagi Se To Sarokar Nahi




us ne door rehne ka
mashwara bhi likha hai
sath hi muhabat ka
wasta bhi likha hai
us ne ye bhi likha hai
mere ghar nhi anaa
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likha hai
kuch huruff likhe hain
zabt ki naseehat mein
kuch huruff mein us ne
hosla bhi likha hai
shukriya bhi likha hai
dil se yaad karne ka
dil se dil ka hai kitna
faasla bhi likha hai




sab kuch mila magar phir bhi kuch kami si hai
labon par muskaan magar aankho mein nami si hai

chalna hai zindagi, tune kaha tha chalte rehna
kadam to uthte hain magar zindagi thami si hai

sookhi nadi ko nhi hoti umeed sagar se milne ki
tere jane ke baad meri bhi haalat kuch usi si hai

soch k chala tha teri yaad ko sath na loon ga mein
magar dil ke khone mein wo aaj bhi dabi si hai




itanii muddat baad mile ho
kin socho.n me.n gum rahate ho

tez havaa ne mujh se puuchhaa
ret pe kyaa likhate rahate ho

kaun sii baat hai tum me.n aisii
itane achchhe kyo.n lagate ho

ham se na puuchho hijr ke qisse
apanii kaho ab tum kaise ho




Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaa karna hai

Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansooon kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai

Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya
Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai

Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai

Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai

Chaloo yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen
Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai

Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "DHANANJAY"
Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai

No comments:

Post a Comment