Thursday, October 28, 2010

Aadat

wo ruthta raha main manata raha
us ki rahon main palkain bichata raha
najanay USKO ruthnay ki kesi aadat thi
na janay main ro kar b usay kion hasata raha

pir yun huwa aik bar WO esa rutha muj say
pir yun huwa US bar main mana na paya USKO
pareshan main tha yahan udas WO tha wahan
najanay kion main ro para per bata na paya USKO

pir huwa esa k farista-e-ajal aaj poncha liye mera
tha main intazar main esi k, pata tha ISKOpir kooch huwa yahan say huway duniya k ghum khatam
aur na pir roya main na hui koi aur ankh NAM
yeh 'DHANANJAY USKA' to tha aik bahana, tha kuch batana USKOper na bata paya main aur na hi kuch kiyaal aaya USKO



 Hum Ko Shouk Hai Itna Fareb Khaane Ka,
Dekh Hi Nahi Sakte Asal Rukh Zamane Ka,
Dhushmano Ki Mehfil Mein Ashna Se Chehre Hain,
Haa Yehi Hai Khamyaza Dosti Badhane Ka,
Woh Jo Chehre Pe Likhi Dastan Na Padh Paaye,
Faaida Nahi Hai Unko Haal-E-Dil Sunane Ka,
Qadar Ashar Jis Mein Ek Bhi Nahi Nikla,
Kyun Lihaaz Hai Humko Zamane Ka.



Khwaab Haqeekat Ho Jaaye
Gar Unko Mohabbat Ho Jaaye

Raat Ko Nikle Jab Chhat Pe
Chaand Ko Hairat Ho Jaaye

Mehfil Me Roshan Ho Chehra
To Dil Me Qayaamat Ho Jaaye

Utha Le Vo Chilman Jo Apni
Dekho Naa Shararat Ho Jaaye

Raho Me Khade Hain Unki
Kab 'DHANANJAY' Pe Inaayat Ho Jaaye



Aaj Kal Yeh Kyaa Ho Raha Hai
Bhalaa Karo Buraa Ho Raha Hai ...

Kar Diya Kisne Fasaad Shahar Me
Shor Gali Me BaDaa Ho Raha Hai ...

Dhoop Ke Saath Gayaa Din Aaj Kaa
Aasraa Kal Ke Aane Kaa Ho Raha Hai ...

Muflisii Ki Cheekh Sunii Nahi Kisi Ne
Baad Haadse Ke Ronaa Ho Raha Hai ...

Be-FikR Ghoom Rahi Hai YahaaN Beimaanii
Gali Gali Imaan Ka Saudaa Ho Raha Hai ...

Soyaa Nahi Kai RaatoN Se "DHANANJAY"
Mere Khwaab Ka Zakhm Haraa Ho Raha Hai ...



Mai toot kar jo bikhar gaya hun to sirf teri yaad mein,
Tanha jeena seekh raha hun to sirf teri yaad mein..!
Aata hai ajab lutf mujh ko teri yaad mein,
Jee raha hun khushi se,
To sirf teri yaad mein..!
Na jaane kia kashish hai teri yaad mein,
Ke main madhosh ho jata hun teri yaad mein..!
Likhon to kiya likhon teri yaad mein,
Sochta hun guzaar dun zindagi teri yaad mein..!!!



Na jaane kyon chahte hain wafa ishq me
Hamane to chaha vo hon be-wafa ishq me
Tadafta rahoon uske deedar ko main
Deti hai sukun aisi koi saza ishq me
Zuban par rahe hardam uska naam
Aise hi jeene ka hai maza ishq me
Tere dilkash tasavvur ka aisa asar ho
Utre naa kabhi uska nasha ishq me
Kabhi naa ho jaaye koi aisa sitam
Ho jaaye tu mujhse khafa ishq me
Main sada karta rahunga tujhe sazda
Teri berukhi hi hai anmol tohfa ishq me
'DHANANJAY' ki bandagi aa jaye us mukaam pe
Chah ke bhi tu ho na sake juda ishq me



saaya hu raat ki veerangi se darta hu
kabhi kabhi armano ki aawargi se darta hu

muqammal koi jaha nahi ye janta hu main magar
apne hi khawabo ki ek deewangi se darta hu..

E khuda mujh pe raha tera karam kuch is tarah
dua me haath uthata hu par, rawangi se darta hu

main fakeero ki tarah har dar se u to guzra hu
din bhar bhatakta hu magar, aawargi se darta hu..

tere mere darmiya kuch hoke bhi kuch anjaan hai
bikhre hue lamho ki is bechargi se darta hu...



Zamaana na mera raqeeb hota
Kaise tu mera habeeb hota

Mil jaati mohabbat duniya me
Fir kaise mai tere kareeb hota

Paana na chahe tujhe is jag me
Kaun dil se itna gareeb hota

Barasti hain teri rahmaten sab par
Fir kyon na tera naam najeeb hota

Ho jaata fanah tere kadmon me
Kaash aisa 'DHANANJAY' ka naseeb hota



unko humse mohabbat hai, dil ko yeh bharam kyun hua?
be-intehaa chaha tha jise, bewafa wo sanam kyun hua?

khwaab sare aankhon mein hi, choor choor ho gaye!
aye khuda! tu hi bata, mujh par hi yeh sitam kyun hua?

duaa jo du unko, toh lagta unhe jaise bad-duaa hai
apno ke liye aakhir, itna bura mera karam kyun hua?

bhari mehafil apna, dard-e-dil baya kar rahi hun aaj
ashqon ke sang khatm, ankhon ka sharam kyun hua?

ilzaam, gumnaami, zillat hi, faqat hai mujhe haasil
khuda hi janta hai, aakhir 'DHANANJAY' ka janam kyun hua?



Rangeeniya idher ki agar
hain gunah us paar ja ke,
safer e dast ko chhodo ji,
kya karanaa hai us paar ja ke.

jaisee karnee waisee bharnee,
to roz e hashr se dar kaisa,
saaki wahi pilaa de aur,
jo peena hai us paar ja ke.

is aalam ke aaine bhii,
jhoothe hain insaa.n kii tarah,
jalim kitne syah dil hai.n
jaananaa hai us paar ja ke.

us ke julm o sitam ka main,
keh doonga insaaf hua,
mardood ko apne kadmon par,
gar pana hai us paar ja ke.

kya haale jaan batayen hun,
is tan ko hai aaraam kahan,
safar yahan ik karna hai,
ik karana hai us paar ja ke.

sang pe sar ko patke hai,
buton pe zoothii tihmat bhii,
shayad us "DHANANJAY" ko kuch
bharna hai us paar ja ke.

No comments:

Post a Comment