Friday, January 3, 2014

Raanaai E Kaunain Se Be Zaar Humeen The

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Mujhe Maloom Hai Ke Wo kabhi Bhi Meri Ho Nahi Sakti...
Buss Mujhe Shauk Hai Uske Khatir zindgi Barbad Karne Ka....
Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the,
Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the !

Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost,
Duniya thi talabgaar parastaar humeen the !

Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar,
Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the !

De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara,
Raton ko tere waaste bedaar humeen the !

Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin,
Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the !

Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein,
Sab apni jagah phool the khaar humeen the !

Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne,
Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the !

Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti,
Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the !

Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar,
Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the !

Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar,
Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the !

‘Ehsaan’ hai be-sood gila unki jafaa ka,
Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the !

Credit : ‘Ehsaan’ Danish Sahab


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment