Saturday, May 7, 2011

Yaad Aaongaa

Yeh zara zara si baat par tarhaN tarhaN ke azaab kiuN?
jo kisi sey bhi khafa na ho mujhey us khuda ki talaash hey

mujhey laghzishoN pe har gharri koi tok’ta hey baar baar
jisey kar ke dil ko dukh na ho mujhey us gunaah ki talaash hey

meiN dhooNdta hooN wo khizaaN jisey gulshanoN sey pyaar ho
jisey kisi chiragh sey na bey’r ho mujhey us hawa ki talaash hey

mujhey us nagar ki hey justuju jahaN koi bhi chahata nahi lahu
jahaN hiran ko sheir sey dar na ho mujhey us jaga ki talaash hey

yahaN ik lamhey ke parrao meiN merey sarey phool jhulas gaey
ab jahaaN talkhioN ki tappish na ho mujhey us fiza ki talaash hey

bina humsafar ke kab talak koi musafitoN meiN laga rahey
jahaN koi kisi sey juda na ho mujhey us raah ki talaash hey

in husn-kadoN ke shor sey meri samaa’ateiN heiN ajnabi
ho jis pukaar meiN mukhlisi mujhey us sada ki talaash hey

mujhey deikh kar jo ik nazar merey sarey dard samajh sakey “DHANANJAY”
jo is qadar ho chaara-gar mujhey us nigaah ki talaash hey….




Kon Kehta Hai Woh Mere Bagher Tanha Hoga,
Woh Ik Chiragh Hai Kahin Aur Jalta Hoga.

Yeh To Hum Hain Ek Saakin Si Jheel,
Woh To “Bikhra“ Huwa Ik Dariya Hoga.

Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Des Main,
Usay Kiya Khaber Koi Us Ko Sochta Hoga.

Woh Mere Dard Se Be-Khaber Nahin Tha Magar,
Usay “Dukh“ Baantney Ka Na Saleeqa Hoga.

Itna Naadan Nahin Ke Samjh Bhi Na Sakey Hamko,
Usi Ka “Tazkara“ Meri Har Ghazal Main Huwa Hoga.

Banaya Gaya Tha Hamein Khulus Ki Miti Se,
Hamein Khaber Na Thi Woh Bad Gumaan Hoga.

Main Ne Usay Chaha To Chaata Hi Gaya “DHANANJAY”,
Meri Shiddton Se Ghabra Ker Woh Chal Diya Hoga




Tum Meri Aankh Ke Tevvar Naa Bhula Paaoge ¤¦¤
¤¦¤ An Kahi Baat Ko Samajhoge to Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Humne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe ¤¦¤
¤¦¤ Safaah-e-ziist Ko Paltoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Isii Andaaz Mein Hotey The Mukhatib Mujh Se ¤¦¤
¤¦¤ Khat kisi Aur Ko Likho Ge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Sard Raaton Ke Mehakte Huwe Sanaaton Mein ¤¦¤
¤¦¤ Jab kisi Phool Ko Choomoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Ab Teray Ashk Mein Honton Se Chura leta Hoon "DHANANJAY" ¤¦¤
¤¦¤ Haath Se Khud Inhain Ponchoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤


No comments:

Post a Comment