Tuesday, May 31, 2011

Bohat Din

Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai
Yahan dushman ke hathon yaar bikta hai

Yahan insaan ka kaatil insaan milta hai
Yahan oonchey logon ka mizaar bikta hai

Yahan lagte hai bazaron mein sharab ke theiley
Yahan khuda ki khudai ka ikhtiyaar bikta hai

Yahan kha ke bhi sab kisi ke pait nahin bhartey "DHANANJAY"
Yahan insaniyat bikti hai yahan meyaar bikta hai






Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne
Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne

Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr
“DHANANJAY”
Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne..!!’

No comments:

Post a Comment