Sunday, May 29, 2011

Kuch Sath De

Eik Saza Aur AseerOun Ko Suna Dii jAye
Ya’anii Ab jUram e Aseerii Ki Saza Dii jAye

Us Ki Khwaahish hAi K Ab lOg Na Roiyen Na Hansien
Be HiSsi Waqat Kii Awaaz Bana Dii jAye

DaSht e Naadeeda Ki Tehqeeq zarOorii hAi Magar
Pehlay Jo Aag Lagi hAi Wo bUjha Dii jAye

Sirf jAlna Hi Nahien Hum Ko Bharakna Bhe To hAi
IShq Ki Aag Ko Laazim hAi Hawa Dii jAye

Sirf sOoraj Ka Nikalna hAi Agar Subah To Phir
Eik Shab Aur Meri Shab Sey Milla Dii jAye

Aur Eik Taza Sitam Us Ney Keya hAi Eejaad
Us Ko Is Baar Zara khUl K dUa Dii jAye





Itna to mere haal par ehsan kiya kar,
Ankhon se mera dard pehchan liya kar,

Kuch sath de safar me bohat thak gaya hon mein,
Kuch pal hon tere saath meri maan liya kar,

Afsaney Mohabat k adhurey na chor tu,
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan liya kar,

Muddat hui is AAS par thehra hua hon mein,
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam liya kar

Kr apni zat se wabasta tu mujhe,
Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya kar.

No comments:

Post a Comment