Thursday, February 7, 2013

Mohabat Kaisay Mar Jaye

Dhananjay Parmar
Bari Mukhtasir Khushi Tu, Bara Sabar’Azma Main,
Tu Namaz e Asar Goya, Main Qayam e Hashar Shayad…



Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Mohabat kaisay mar jaye,
badan main jo khoon ki manind,
jo hai aik janoo ki manind,
subha aur sham kay hr pal main,
jo hai aik sakoon ki manind,


Mohabat kaisay mar jaye,
Woh rahti hai dua ban kar,
Woh chalti hai hawa ban kar,
Woh sumandar kay talatam main,
Machalti hai wafa ban kar,


Mohabat kaisay mar jaye,
Woh sansoon kay sath chalti hai,
Rang ban kar nikharti hai,
Ghata ban kay woh cha jaye,
Woh khushbo ban kay mahkati hai,


Mohabat kaisy mar jaye,
Woh ebadat meray rab say hai,
Tahajud kay saray sajdoon main,
Woh rafaqat hr aik shab say hai,
Woh laboon pay vird karti hai,
Mohabat kaisay mar jaye,
Mohabat mar nahi sakti..



An MV-22 Osprey prepares to land on the flight deck of the aircraft carrier USS George H.W. Bush, which is conducting training and carrier qualifications, in the Atlantic Ocean, Jan. 27, 2013. The Osprey is assigned to Marine Tiltrotor Operational Test and Evaluation Squadron 22. U.S. Navy photo by Petty Officer 2nd Class Timothy Walter


Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment