Friday, February 1, 2013

Ajab Hain Raastay Mere

Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai,
Agar jo ho ishq to kehna yahan koi dil nahi rehta...

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin,
Zara thokar jo lag jaye sanbhalna bhi nahi mumkin,

Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye,
Ke ab bheegi hui aankhon ko malna bhi nahi mumkin,

Milay hain baad muddat k, balaa k sard hain lehje,
Ke jalna bhi nahi mumkin. pighalna bhi nahi mumkin,

Ta’alluq toot jaane se umeeden toot jaati hain,
Dilon mein hasraten le ker behalna bhi nahi mumkin,

Bohat nakaamian le ker hua hoon khaak ka qaidi,
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,

Usse itna na socha ker. teri aadat na ban jaye,
Phir aisi aadaten Mohsin, badalna bhi nahi mumkin..




No comments:

Post a Comment