Saturday, December 1, 2012

Yaad Karta Hon Jab

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?

Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?

Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?


Dil ko dard howa itna k Dhananjay
chaha k sab ko he is ki khabar ho

Kahayn? keh tu dein sab ko
dard kisi ka, kia kisi ko fikar ho

Ik doost ik sath kehtay rehay jis
sonay na jo samjh he na kafi ho

koi joon ki tabdili ki baat kro
koi safai e hasst ki baat ho

har saasn ki qeemat do gae
koi mool ki bhee tu baat ho


Mehsos hota hai dard dil ka
Yaad karta hon jab tumhen dil me

Karne gea tha tujh se izhar-e-mohabbat
Reh gai dil ki batain mere dil me

Bholana jo chaha har aik ka chehra to
Bus gai sirf teri sorat kahen dil me

Chor dia hai mene abb har aik ko
Basaea tha zamane ko kabhi dil me

Kabhi zarorat parhi to shaid kaam hi aa jae
Tere thane sambhal rakhe hain dil me

Kabhi milen fursaten to loot ana tum
Jaga bacha rakhi hai abb bhi dil me

Na poch yee sun kar takleef hi ho gi
Tere ghamon ko chopa rakha hai dil me

Jo suna hai kia such suna hai?
Bus gae ho tum kisi ghair k dil me

Dhananjay zamane ko kahin khabar hi na ho jae
Chopae rakhate hain har khawaish dil me



Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment