Monday, December 24, 2012

Ik Sheher Basaana Parta Hai

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Bohat hujoom hai muhabbat ke shehar mein...
Aik baar jo bichar jaey dubara nahin milta...


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Humsafri ka bojh uthana parta hai,
Dil ko duh ke sath chalana parta hai,

Hum jese awaara dil logon ko bhi,
Koi na koi qaul* nibhana parta hai,

Kabhi kabhi ik dard bhari siskaari se,
Khamoshi ko zakham lagana parta hai,

Sanattey mehfooz rakhe hain seeney mein,
Weeraani ka hath battana parta hai,

Pehle karna parta hai ik jungle saaf,
Uss ke baad ik sheher basaana parta hai,

Roz humain yadon ke ghaur samandar mein,
Raat gaye ik deep jalana parrta hai,

Pardon ka ik khail sajaana parta hai,
Aik uthaana aik giraana parta hai,

Tanhai mein bhi rehna majboori hai,
Logon mein bhi aana jana parta hai..

(qaul;promise)


Wo Jo Tere Faqeer Hote Hain,
Aadmi Be’nazeer Hote Hain,

Phool daaman main chand rakh lijiye,
Raaste main faqeer hote hain,

Teri mehfil main bethne waley,
Kitne roshan zameer hote hain,

Woh parindey jo aankh rakhte hain,
Sab se pehle aseer hote hain,

Zindagi ke haseen tarkash mein,
Kitne be’reham teer hote hain,

Aye Adam ehtiyaat logon se,
Log munkar nakeer hote hain..

(be’nazeer;unbuyable,pure)(tarkash;bow)(munkar;evil)


Har kaam bigarrta hai hum jaison ka ho ho ke,
Un ko bhi koi poochey bethe hain jo ro ro ke,

Hum jaagney walon ko zindon main samajhte hain,
Mar jartey hain kitne hi meri tarah so so ke,

Daaman to hai daaman phir, phailana hi parta hai,
Yeh saaf nahi rehta dekha isey dho dho ke,

Jiss cheez se qurbat ho ajati hai doori bhi,
Ik shakhss ko paa hai ik shakhss ko kho kho ke,

Aye Saad chalo chorro kuch dair ko sasstaa* lo,
Yeh bojh hai sochon ka mar jao ge ddho* ddho ke..

(sasstaa;relax, ddho;pick)



Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment