Tuesday, April 24, 2012

Saans Lenay Se Pehlay

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Mein Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hun
Laray Bagair Hee Phir Haar Maan Leta Hun
Giro Ki Yaad Anghootay Se Aanay Lagti Hai
Mein Jub Bhee Haath Mein Teer-o-Kamaan Leta Hun
Fizaa-e-Sheher Se Aati Howi Hawaaon Ko
Mein Saans Lenay Se Pehlay Hee Chhaan Leta Hun
Baray Sukoon Se Aksar Zameen Ke Bistar Per
Ab Aasmaan Ki Chaadar Bhee Taan Leta Hun
Ye Aur Baat Ke Poora Koi Nahee Hota
Hamesha Azam Koi Dil Mein Taahn Leta Hun
Ye Waaqiya Hai Ke Naaqaam Rehta Hun Aksar
Mein Jub Bhee Apna Koi Imtehaan Leta Hun



Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah

Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah

Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya

Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah

Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye

Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah

Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye !

Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah

Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman !

Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah

Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?

Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah



Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,

Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,

Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,

Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,

Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,

Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,

Aa chal thaam le ab tu mera hath,

Tere naam ko mein apna naam deta hoon,

Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,

Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,

Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,

Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..




Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment