Sunday, April 22, 2012

Parinday

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Vo kaun log thay jo apnay ghar bhi bhool gaye ?
Yeh kesi quvvat-e-parvaaz darr ne paida ki
Parinday urrtay huay apnay parr bhi bhool gaye
Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye
Khayaal tha ke sunaayen ge haal-e-dil lekin
Hum us ke saamnay Arz-e-hunar bhi bhool gaye
Juda huay to khula hai tumhaari basti mein
Hum aik dil he nahin, chashm-e-tarr bhi bhool gaye



Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???
Jungul ki hawa rahuun kahan tak ???
Har baar hawa na hogi dar per
Har baar magar uthuun kahan tak ???
Dum ghut’ta hai ghar mein hubs wo hai
Khushbo ke lye apna raffuu karuun kahan tak ???
Saahil pe samandaron se bach kar
Mein naam tera likhoon kahan tak ???
Tanhaayi ka ek ek lamha
Hungaamon se qarz loon kahan tak ???
Gar lams nahee tou lafz hee bhej
Mein tujh se juda rahuun kahan tak ???
Sukh se bhee tou dosti kubhi ho
Dukh se hee galay miluun kahan tak ???
Mansoob ho har kiran ksi se
Apnay hee lye jaluun kahan tak ???
Aanchal mere bhar ke phat rahay hain
Phool us ke lye chunuun kahan tak ???



Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment