Monday, June 13, 2011

Kabhi Kaha Na

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
kaho Toh Aaj Saja Luu Garib Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaana Toh Sayyad Dekh Kar Jaana
Akele Chhod Kar Aayaa Huu Aashiyaane Ko

Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko

Dabaa ke Qabr mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumhaare Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhord Duu Fasaane Ko

Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko





Kashti Bhi Na Badli Dariya Bhi Na Badla.
Par Ham Dubne Walo Ka Jazba Bhi na Badla.

Hai SHOK-E-SAFAR Aisa ek Umar se Hamne
Manzil bi Na payi Or Rasta bi Na Badla.!




Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay,
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,

Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,

Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k,
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,

Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay,
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,

Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

No comments:

Post a Comment