Apne honthon par sajana chahta hoon..
aa tujhe mein gungunana chahta hoon..
koi aansoo tere daman par gira kar..
boondh ko moti banana chahta hoon..
boondh ko moti banana chahta hoon..
Thakk gaya mein karte karte yaad tujhko..
Abh tujhe mein yaad aana chahta hoon…
Abh tujhe mein yaad aana chahta hoon…
Jo bana Baayes meri nakamiyon ka
Mein usi ke kaam ana chahta hoon
Mein usi ke kaam ana chahta hoon
Chah raha hai sari basti per andhera
Roshni ko ghar jalana chahta hoon
Roshni ko ghar jalana chahta hoon
Phool se paiker to nikle be-murawat
Mein pathron ko azmaana chahta hoon
Mein pathron ko azmaana chahta hoon
Reh gayi thi kuch kami ruswayiyon mein
Phir kateel us dar pe jana chahta hoon
Phir kateel us dar pe jana chahta hoon
Aakhiri hichhki tere zaano’ pey aaye..
Maut bhi mein shayaraana chahta hoon..
Maut bhi mein shayaraana chahta hoon..
zindagii kis tarah guzregi ab aaraam ke saath
tu mera naam jo le leta hai ilzaam ke saath
tu mera naam jo le leta hai ilzaam ke saath
mujhse aa aa ke sabhi poochhenge tere baabat
kab talak baat chhupaa paaunga anjaam ke saath
kab talak baat chhupaa paaunga anjaam ke saath
ab tow tanhaiyon mein ghir ke yehi sochta hun
umr bhar yaad kiya jaaunga bad_naam ke saath
umr bhar yaad kiya jaaunga bad_naam ke saath
apne daaman ko bacha kar tu chala ja mujhse
de ja ruswaiyan kuch aur bhi in’aam ke saath
de ja ruswaiyan kuch aur bhi in’aam ke saath
mujhse ik bhool hui tujhse muhabbat kar li
bhool jaa mujh ko mere pyaar ke payeGhaam ke saath
bhool jaa mujh ko mere pyaar ke payeGhaam ke saath
zindagi tark e talluq mein kategi kaise
bass “khayal” itna bata jaa mujhe ifhaam ke saath
bass “khayal” itna bata jaa mujhe ifhaam ke saath
main nazar se pii rahaa huN ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kahin raat Dhal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kahin raat Dhal na jaaye
mere ashk bhi hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
abhi raat kuchh hai baaqi na uThaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahin phir sambhal na jaaye
teraa rind girate girate kahin phir sambhal na jaaye
meri zindagi ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane ki Khushi mein meraa dam nikal na jaaye
tere aane ki Khushi mein meraa dam nikal na jaaye
mujhe phuNkane se pahale mera dil nikaal lenaa
ye kisi ki hai amanat kahin saath jal na jaaye
ye kisi ki hai amanat kahin saath jal na jaaye
Main kab kehta hoon wo acha buhat hai
Magar us ne mujhe chaha buhat hai
Magar us ne mujhe chaha buhat hai
Khuda is sheher ko mehfooz rakhay
Ye bachon ki tarha hansta buhat hai
Ye bachon ki tarha hansta buhat hai
Main har lamhe main sadyan dekhta hoon
Tumhare sath aik lamha buhat hai
Tumhare sath aik lamha buhat hai
Mera dil barishon main phool jaisa
Ye bacha raat main rota buhat hai
Ye bacha raat main rota buhat hai
Wo ab laakhon dilon say khelta hai
Mujhe pehchaan le itna buhat hai
Mujhe pehchaan le itna buhat hai
Itna Qareeb Aao K Ji Bhar K Dekh Lein,
Shayad K Phir Milo To Ye Zoq-e-Nazar Na Ho.
Shayad K Phir Milo To Ye Zoq-e-Nazar Na Ho.
Aaye Ho Ab K Jo Tum To Aik Shab Qayaam Kr Lo,
Shayad K Phir Guzar Ho To Mera Ghar Na Ho,
Shayad K Phir Guzar Ho To Mera Ghar Na Ho,
Mumkin Hai K Tarteeb-e-Waqt Main Aisa B Lamha Aaye.
K Dastak Ko Tera Hath Uthey Aur Mera Dar Na Ho..
K Dastak Ko Tera Hath Uthey Aur Mera Dar Na Ho..
No comments:
Post a Comment