Wednesday, October 3, 2012

Yeh Rah Guzar Hai

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Jab pyaar kisi se hota hai kya shokh zamane lagte hain,
Marne ke sahaarey milte hain jeene ke bahane milte hain,

Mehfil mein kabhi jo log humain ik aankh utha kar na dekhen,
Woh tanhaiyon mein aa ke humain kyon itne suhaney lagte hain,

Bachpan ki umangon ke rukh se phir kya kya aanchal uthte hain,
Maazi ke khayalon mein hum ko jab yaar puraney milte hain,

Yeh rah’guzar hai ulfat ki, yahan pass kahan, ehsaas kahan,
Yahan hamrahi apne apne dukh dard sunaney milte hain,

Yu’n tanha tanha kuch bhi nahin chahat ka bane tab peera’hn,
Jab husn aur ishq ke aapas mein sab taaney baaney milte hain,

Gar baat barhi to phir kya hai? aye jane tamana! dar kesa ?
Pardon mein rehne walon ke kya kya na fasaney milte hain,

Kuch tanha tanha Saaqi bhi rehte hain khayalon mein kho kar,
Jab taaza ghazal keh lete hain phir hum ko sunaney milte hain..



Dhananjay Parmar


No comments:

Post a Comment