Wednesday, August 17, 2011

Jo Na Hona Tha

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon,
Raha mujhse wo juda kyun, mai ishi soch mai hoon,

Youn to har shay mai hai uska hi chamakta chahra,
Dil e beemar ka ek wo hi to masheeha hai,


Phir na jane wo mujhse hai khafa kyun, main ishi soch mai hoon.

Meri chahat ka nighebaan hai wo mera sanam,
Meri khushiyon ka ek wo hi to khajana hai,


Phir in haathon ki lakeeron ke alag nishan kyun, main ishi soch mai hoon.

Uske aane se to har shay mai roshnayi hai,
Wo mahakta hai to baagon mai aati hai bahaar,


Phir wo mera shahe khuba mujhse ba-dua kyun, main ishi soch mai hoon.

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon DHANANJAY .
Raha mujhse wo juda kyun, main ishi soch mai hoon.

No comments:

Post a Comment