Hi friend’s
This is just poem and shayari,
Humsafri
ka bojh uthana parta hai,
Dil ko duh ke sath chalana parta hai,
Dil ko duh ke sath chalana parta hai,
Hum
jese awaara dil logon ko bhi,
Koi na koi qaul* nibhana parta hai,
Koi na koi qaul* nibhana parta hai,
Kabhi
kabhi ik dard bhari siskaari se,
Khamoshi ko zakham lagana parta hai,
Khamoshi ko zakham lagana parta hai,
Sanattey
mehfooz rakhe hain seeney mein,
Weeraani ka hath battana parta hai,
Weeraani ka hath battana parta hai,
Pehle
karna parta hai ik jungle saaf,
Uss ke baad ik sheher basaana parta hai,
Uss ke baad ik sheher basaana parta hai,
Roz
humain yadon ke ghaur samandar mein,
Raat gaye ik deep jalana parrta hai,
Raat gaye ik deep jalana parrta hai,
Pardon
ka ik khail sajaana parta hai,
Aik uthaana aik giraana parta hai,
Aik uthaana aik giraana parta hai,
Tanhai
mein bhi rehna majboori hai,
Logon mein bhi aana jana parta hai..
Logon mein bhi aana jana parta hai..
Wo Jo Tere Faqeer Hote Hain,
Aadmi Be’nazeer Hote Hain,
Aadmi Be’nazeer Hote Hain,
Phool daaman main chand rakh lijiye,
Raaste main faqeer hote hain,
Raaste main faqeer hote hain,
Teri mehfil main bethne waley,
Kitne roshan zameer hote hain,
Kitne roshan zameer hote hain,
Woh parindey jo aankh rakhte hain,
Sab se pehle aseer hote hain,
Sab se pehle aseer hote hain,
Zindagi ke haseen tarkash mein,
Kitne be’reham teer hote hain,
Kitne be’reham teer hote hain,
Aye Adam ehtiyaat logon se,
Log munkar nakeer hote hain..
Log munkar nakeer hote hain..
Har kaam bigarrta hai hum jaison ka ho
ho ke,
Un ko bhi koi poochey bethe hain jo ro ro ke,
Un ko bhi koi poochey bethe hain jo ro ro ke,
Hum jaagney walon ko zindon main
samajhte hain,
Mar jartey hain kitne hi meri tarah so so ke,
Mar jartey hain kitne hi meri tarah so so ke,
Daaman to hai daaman phir, phailana hi
parta hai,
Yeh saaf nahi rehta dekha isey dho dho ke,
Yeh saaf nahi rehta dekha isey dho dho ke,
Jiss cheez se qurbat ho ajati hai
doori bhi,
Ik shakhss ko paa hai ik shakhss ko kho kho ke,
Ik shakhss ko paa hai ik shakhss ko kho kho ke,
Aye Saad chalo chorro kuch dair ko
sasstaa* lo,
Yeh bojh hai sochon ka mar jao ge ddho* ddho ke..
Yeh bojh hai sochon ka mar jao ge ddho* ddho ke..
(sasstaa;relax, ddho;pick)