Friday, June 1, 2012

Yaad Ro Ro Ke Teri


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Yaad ro ro ke teri satati rahi
Aag judai ki dil ko jalati rahi

Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se
Shakh-e- gul apne sar ko jhukaati rahi


Apni mohabbat ki nakaamiyan kya kahoon
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi


Woh doosron se has has ke milte rahe
Meri he badkismati ashq bahati rahi


Hum wafa jinse karte rahe umar bhar
Hum pe unki jafa muskurati rahi


Shayad kusur meri mohabbat ka he hai
Jo sab sehkar bhi unein chahti rahi



Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun
Oske Chehray Ki Tilaawat Kar Raha Hun

Lo Kharido Ik Nazar Ke Moul Mujhko
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun


Li Hai Sabr-o-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun


Chhin Gaya Mulk-e-Jawaani Bhi Tou Kia Gham ?
Ab Bhi Yaadon Per Hukoomat Kar Raha Hun


Koi Bhi Gham Osko Loutaaya Nahi Hai
Yun Amaanat Mein Khayaanat Kar Raha Hun


Osne Tou Bas Ik Zara Si Baat Chehri
Mein Wazaahat Per Wazaahat Kar Raha Hun


Ishq Karke Aap Bhi Ban Jaayein Insaan
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun


Aashiqui Tufaan-e-Girya Chahti Hai
Aur Mein Aahon Per Qana’at Kar Raha Hun


Aasmaan Jo Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein
Osko Chhuu Lainay Ki Jurrat Kar Raha Hun


Mein Ne Dekha Hai Qateel Os Ka Saraapa
Mein Kahaan Zikr-e-Qayamat Kar Raha Hun ???



Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun

Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun


Magroor Hai TU Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun


Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun


Ik Umer Ke Baad Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun ?



Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai
Jaanay Wo Khud Ko Kia Samajhta Hai ?

Mein Tou Manzil Samajhta Hun Osko
Wo Mujhe Raasta Samajhta Hai


Zakham Apna Dikha Raha Hun Ose
Jo Namak Ko Dawaa Samajhta Hai


Had Tou Ye Hai Ke Bhaint Charh Ke Bhi
Dil Ose Devtaa Samajhta Hai


Mera Mayaar Jag Mein Hai Hee Kahan ?
Jag Mujhe, Paarsa Samajhta Hai


Yaani ! Itna Sitam Tou Seh Lega ?
Jitna Sab Per Rawaa Samajhta Hai


Osko Ehraam-e-Misar Dikhlao
Jo Bhi Khud Ko Khudaa Samajhta Hai


Aaj Ke Dour Mein Jafaa Ko Janaab
Sirf Paagal, Jafaa Samajhta Hai


Aqal Mand Aadmi, Mohabbat Ko
Aqal Se Maawra Samajhta Hai


Qais Ka Kia Banay Ga, Laila Ko ?
Aakhri Aasra Samajhta Hai……..!



Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai

Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai


Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?


Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai


Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai


Wo Pal Ke Sulagh Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai



Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,

Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,


Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,


Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,


Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.



MUHABBAT KO MUHABBAT KA ZARA EHSAAS HONE DO
ABHI KUCH DAIR TEHRO HUSSUN KO BENAQQAB HONE DO

BEWAJHA DIL KO YOUN ROKA NAHI KERTY
ITNE MUHTAT HO KIUYN ZARA MUSAM KHARAB HONE DO


ISHARON MN KAHI BATAIN AKSAR NA MUKAMMAL HOTI HN
RUKKO, MERE AKO ZARA KITAB HONE DO


ZINDAGI KO DO RAHY PE LA K CHODTY HO KIYUON
KUCH KAHO YA APNI BEWAFAYI KA HISSAB HONE DO


AJAB NAHI K LOG TUJHE BEWAFA JANNE
PHIR KIYOUN NA AAJ PORA MAHTAB HONE DO


YEH RAAT ANDHEERI SAHI PER THANDI TU HOTI HY
ROSHKI HAQEEQAT KIA ZARA CHANDA KO AFTAAB HONE DO



No comments:

Post a Comment