Saturday, June 30, 2012

Zara Sa Ishq

Dhananjay Parmar


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna
Bohat Aasaan Nahi Hota Judaai Maangtay Rehna

Zara Sa Ishq Karlaina, Zara Si Aankh Bhar Laina
Iwaz Iske Magar Saari Khudaai Maangtay Rehna


Kubhi Mehroom Honton Per Dua Ka Harf Rakh Dena
Kubhi Wehshat Mein Oski Naarsaayi Maangtay Rehna


Wafaaon Ke Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jaati Hai
Dil Ki Sakoot-e-Shaam-e-Gham Se Humnawaayi Maangtay Rehna


Kubhi Bachay Ke Nannay Haath Per Titli Ke Par Rakhna
Kubhi Phir Oske Rangon Se Rihaayi Maangtay Rehna



Husn-o-Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Aankhon Mein Oski Khwaab Suhaanay Nahi Rahay

Milnay Ko Aa Hee Jata Hai Har Chund Roz Baad
Lagta Hai Oske Paas Bahaanay Nahi Rahay


Larzish Hai Haath Mein Tou Mein Tou Nazar Bhi Hai Dhundli
Pehlay Se Ab Wo Dil Ke Nishaanay Nahi Rahay


Uthti Nahi Hain Shoq-o-Tajassus Ke Ba-Wajood
Aankhon Ke Kitnay Kaam Puraanay Nahi Rahay


Kamray Se Bhar Gaye Hain Masaail Ki Gard Se
Dil Mein Tere Khayaal Ke Khaanay Nahi Rahay



Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment