Sunday, December 25, 2011

Suna Hai Log

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain


Sunday, December 18, 2011

Ehsaan Jataney


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi
Mein jo rootha tou mananey bhi na aya koi
Aik woh door ke soney bhi na dete they mujhe
Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi
Dag-magata tha tou sou hath lapakte they mujhe
Gir gaya hoon tou uthaney bhi nahin aya koi
Janey ahbab pe kya guzri, khuda kher kare
Arsay se neya zakham laganey nahin aya koi
Aese utra hoon dilon se ke hansaana tou kuja
Aik muddat se rulaney bhi nahin aya koi
Yun tou so baar, toota, jura, magar ab ke amin
Aese toota ke bananey bhi nahin aya koi
Deewar hai kisi ki, dareecha kisi ka hai
Lgta hai ghar ka ghar hi asasa kisi ka hai
Ik aur hath bhi hai pas-e-raqs heela jo
Hum tum tou putliyaan hain, tamasha kisi ka hai
Yeh jo hain mere paon kisi aur ke na hon
Chal mein raha hon, Naksh kuf e paa kisi ka hai
Ashkon se bhar raha hon mein apni dareeda mashk
Itne barss ke bad bhi darya kisi ka hai
Kese kahoon ke apni zubaan bolte hain hum
Alfaaz shayed apne hon, lehja kisi ka hai
“”MeNe Boht Se Dost Bnaye”"
“”Kuch Boht Khas!
“”Kuch Boht pyare;
1 Se to MuJe MOHABT B Boht thi!
Kuch Mulk Chor Gaye,
To kisi Ne Ghar Badal Lia,
Kisi Ne MuJe Chor Dia Or kisi ko Mene,
Kuch Doston Se Rabta Hai,Kuch Se Nhi
Koi Apni Ana ki Wja Se Rabta Nhi Krta
Kahin Meri Ana Muje Rokti Hy
Wo Sb Jese B Hen,Jahan Bhi HEn
Main Ab B Unhe Chahta Hun,Or yaad Krta Hun
Q k MeNe Un K Sath Zindgi K yadgar Din Guzare Hen.
Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch lete hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leti hun
Usay bhe pyar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD”
Ban gya hai zindagi meri.

Dhananjay Parmar

Sunday, September 18, 2011

Ek Shaks

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe

Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou

Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia

Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay “Dhananjay”

Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!




Hoon To Khafa Us SE,

Per Janay Phir B Kiyn…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,

Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,

Tu MERA Hai,

Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai “Dhananjay”….!!




Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai

Meray Charo’n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho’n K Azaab Say

Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta’ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee’n

Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo’n Warq Warq

Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao’n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar “Dhananjay”

Sar-e-Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai




Rootha agr tujh sy to is andaz say rothon ga…

Tere shehar ki matti b “Dhananjay” ka wajod ko trsey gi…


Friday, September 16, 2011

Umeede Thi

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe

Aashiyaane hum bhi banaate rahe

 

Kitni mujhko aap se umeede thi

Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe

 

Dekhta raha main ek phool ko

Khayaal mujhko aapke aate rahe

 

Aapke dil ko Khuda humne kaha

Aap mere dil ko dukhaate rahe

 

Kaati is tarah se humne zindagi

Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe

 

Hum bhi sun ke an-suni karte rahe

Samjhaane waale humko samjhaate rahe

 

Dil gawaya barson pehle ishq mein

Jaan se bhi aaj hum jaate rahe

 

Duniya deewana kahegi Dhananjay

Yuh hi agar share hum sunaate rahe…

Wednesday, September 14, 2011

Paas Hookar B

paas hookar b duuriya mehsus kar raha hu

me to seh lunga dard-e-zakhm par teri fikar kar raha hu

tum mere itne kareeb aa gai ho ki kaise batau 
Dhananjay

tumhari khamoshiyo se me pal pal mar raha hu...


Aa tu ke daud ke lipat jaa seene say humare
Phir ishara iss taraf say hoga, yeh umeed na rakh,
Ki ek baar mohabat ki beekh maangi thi tujh se
Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh,
Na acha kiya tune iss dil ko thukra ker
Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh,
Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar
Dhananjay
Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh..


Tujhe yaad karte hain har sans k bad
Kabhi subh se pehle kabi sham k bad
Kabhi milo to kuch karen batein
Ek jam se pehle ek jam ke bad
Dil ki dewaron pe tera nam likte hain
Kabhi fursat mein kabhi kaam ke bad
Mere marne k bad b log tujhe pukarenge
Dhananjay
Kabhi mere naam se pehle kabhi mere naam k bad…


Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya
Yun Toh Har Shaam Ummido Mein Guzar Jaati Hai
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya
Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila
Manzil-e-Ishq Mein Har Gam Pe Rona Aaya
Jab Hua Zikr Zamane Mein Mohabbat Ka Dhananjay
Mujh Ko Apane Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya



Tuesday, September 13, 2011

Woh Kehta Hai

Wo Kehta Hay
“Batao Be sabab Kyu Rooth Jati Ho..?”
May Kehti Hoon
“Zara Mujh Ko Manao
Acha Lagta Hay…”
Wo Kehta Hay
“Mera Dil Tum Say Aakhir Kio Nahi Bharta..?”
May Kehti Hoon
“Muhabat Ki Koi Had Hi Nahi Hoti…”
Wo Kehta Hay
“Batao May Tumhain Kio Bhaa Gaya Itna..?”
May Kehti Hoon
“Meri Jan Hadsay Tu Ho Hee Jatay Hain…”
Wo Kehta Hay
“Achanak May Tumhain Yun Hee Rulaa Doon Tu..?”
May Kehti Hoon
“Mujhay Dar Hay K Tum Bhi Bheeg Jao Gay” ..!!!

Monday, September 12, 2011

Ashkon Ki Barsat

Hijar Tara ab Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat DP
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsat DP
Tere Baad Yeh Dunya Walay Mujh Ko Pagal Kar Dain Ge
Khushbu Ke Dais Main Mujh Ko Le Chal Apnay Sath DP
Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut’ta Hai Cheyro Koi Baat DP
Aaj tO Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam Dadla Dunya Badli Badal Gaye Halaat DP
Mere Ghar Khushbu Ka Yeh Raqs Usi Ke Dam Se Hai
Us Ke Sath Chali Jaye Gi Phulon Ki Baraat DP
Chor DP Ab Us Ki Yadein Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi
To Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Auqaat DP….!!!!

Saturday, September 10, 2011

Khush Nigah C

ksi khush nigah c aankh ne
ye kamal mjh pe karam kia
meri loh e jan pe raqam kia
wo jo ek chand sa harf tha
wo jo ek sham sa naam tha
wo jo ek phool c baat thi
osy gulistan ka pta dia
mera dil jo shehr e malal tha
osy roshni mai bsa dia
meri aankh aur khuwab ko
kisi ek pal mai baham kia
mere aaenon pe jo gard thi
maah o saal ki wo utar gae
sbhi khuwab sham o wasal k
osi ek pal mai chamak uthy
liye sath rang bahar k
mai jo chala sang e bahar k
to saja diye sbhi rasty
mere nam par mere wasty
meri beghari ko panah di
meri justaju ko nishan dia
jo yaqin se bhi haseen tha
mjhy ek aisa guman dia
wo jo reza reza wajood tha
osy ek nazar mai baham kia
KSI KHUSH NIGAH C AANKH NE….!!!

Wednesday, August 17, 2011

Jo Na Hona Tha

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon,
Raha mujhse wo juda kyun, mai ishi soch mai hoon,

Youn to har shay mai hai uska hi chamakta chahra,
Dil e beemar ka ek wo hi to masheeha hai,


Phir na jane wo mujhse hai khafa kyun, main ishi soch mai hoon.

Meri chahat ka nighebaan hai wo mera sanam,
Meri khushiyon ka ek wo hi to khajana hai,


Phir in haathon ki lakeeron ke alag nishan kyun, main ishi soch mai hoon.

Uske aane se to har shay mai roshnayi hai,
Wo mahakta hai to baagon mai aati hai bahaar,


Phir wo mera shahe khuba mujhse ba-dua kyun, main ishi soch mai hoon.

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon DHANANJAY .
Raha mujhse wo juda kyun, main ishi soch mai hoon.

Tuesday, August 16, 2011

Kbi Mil K B

Ye Ulfaten b ajeeb hen, Ye Chahten b ajeeb hen
Kbi Mil k b na Pas hain Kbi pas ho k b na mil saky

Kbi Yad ayi to Beshumar, kbi Ro diye to Behisab
Ye Dil ki Halten b ajeeb henye Sazishen b ajeeb hen

Kbi Lrzishenkbi Rnjishen, Kbi DurianKbi Mjburian
Ye Uljhanenb ajeeb henYe Mushkilen b ajeeb hen

TUM hansty to Sirf Mery Liye, TUM Roty to sirf mery liye DHANANJAY
Ye Khahishen b ajeeb henYe Hasraten b ajeeb hen.

Sunday, August 7, 2011

Khon E Dil

lab-e-Khamosh se izhaar-e-tamanna chahe
baat karane ko bhi tasvir ka lahaja chahe

tu chale sath to ahat bhi na aye apni
daramiyaan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe


zahiri ankhon se kya dekh sakega koi
apne baaton pe bhi ham faash hona chaahe


jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamein
sar chupane ke liye vusaat -e-sehara chahe


Khvaab mein roye to ehasas ho sairabi ka
ret par soyein magar ankh mein dariya chahe


bhed carh jaun na main apne hi Khair-o-shar ki
Khon-e-dil zabt kare zaKhm tamasha chahe


zindagi ankh se ojhal ho magar Khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe


aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kataa
ab Khuda-band se Khairiyat-e-farda chahe


aise tairaak bhi dekhe hain DHANANJAY hamne
Garq hone ke liye bhi jo sahara chahe

Saturday, August 6, 2011

Chupke Se

Kabhi Zindagi Kahin Rangoon Mein, Dhal Jaaye…….!
Kabhi Maasoom Aankhoon Mein, Kaai Mousam Simat Jaain…….!

Yunhi Chupke Se Dil Mera, Tumhaare Dil Mein Utar Jaaye…….!
Kabhi Halki Si Aahat Par Thami, Dharkan Machal Jaaye…….!

Kabhi Yaadoon Ke Shehroon Mein, Kaai Baadal Baras Jaain…….!
Kahin Koi Justuju Ho To, Tumhaara Aks Mil Jaaye…….!

Koi Gham Na Rahe Baaki Is Dil Mein, Mere Jaana…….! DHANANJAY
Rahe Jahaan Bhi Dil Mera Par Dil-E-Dharkan, Tumhaare Paas Reh Jaaye

Sunday, July 31, 2011

Zara Si Baat

Is Zindagi ko jeene ke liye ek Bahana darkaaar tha DHANANJAY
Aap gham dete gaye aur hamari basar hoti gayi…



 

zara si baat dair tak rulati rahi
Hansi me bhi aankhe aansu bahati rhi,
Koi kho k mil gya,koi mil K kho gya “
DHANANJAY
”,,
Zindagi hamko bas aise Hi aazmati rahi..!!




 

ULjhay huey hain palkon main shabnam k chand qatry “DHANANJAY”…
Bichra tha koi raat ko, Khawabon k safar main …!!!




 

Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
“Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata


“manzil ki b hsrat thi or us se muhabat b
“ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhr jata


“muddat ka safar b tha or brson ki shanasai “DHANANJAY
“rukta to bkhar jata chlta to me marjata.




 

Tapak padhtey hai aansu jab tumhari yaad aati hai “DHANANJAY”…
yeh woh barsaat hai jiska koi mausam nahi hota ..