Sunday, December 18, 2011

Ehsaan Jataney


Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi
Mein jo rootha tou mananey bhi na aya koi
Aik woh door ke soney bhi na dete they mujhe
Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi
Dag-magata tha tou sou hath lapakte they mujhe
Gir gaya hoon tou uthaney bhi nahin aya koi
Janey ahbab pe kya guzri, khuda kher kare
Arsay se neya zakham laganey nahin aya koi
Aese utra hoon dilon se ke hansaana tou kuja
Aik muddat se rulaney bhi nahin aya koi
Yun tou so baar, toota, jura, magar ab ke amin
Aese toota ke bananey bhi nahin aya koi
Deewar hai kisi ki, dareecha kisi ka hai
Lgta hai ghar ka ghar hi asasa kisi ka hai
Ik aur hath bhi hai pas-e-raqs heela jo
Hum tum tou putliyaan hain, tamasha kisi ka hai
Yeh jo hain mere paon kisi aur ke na hon
Chal mein raha hon, Naksh kuf e paa kisi ka hai
Ashkon se bhar raha hon mein apni dareeda mashk
Itne barss ke bad bhi darya kisi ka hai
Kese kahoon ke apni zubaan bolte hain hum
Alfaaz shayed apne hon, lehja kisi ka hai
“”MeNe Boht Se Dost Bnaye”"
“”Kuch Boht Khas!
“”Kuch Boht pyare;
1 Se to MuJe MOHABT B Boht thi!
Kuch Mulk Chor Gaye,
To kisi Ne Ghar Badal Lia,
Kisi Ne MuJe Chor Dia Or kisi ko Mene,
Kuch Doston Se Rabta Hai,Kuch Se Nhi
Koi Apni Ana ki Wja Se Rabta Nhi Krta
Kahin Meri Ana Muje Rokti Hy
Wo Sb Jese B Hen,Jahan Bhi HEn
Main Ab B Unhe Chahta Hun,Or yaad Krta Hun
Q k MeNe Un K Sath Zindgi K yadgar Din Guzare Hen.
Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch lete hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leti hun
Usay bhe pyar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD”
Ban gya hai zindagi meri.

Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment