Wednesday, October 20, 2010

Lakeer

Hatheli samne rakhna...
Ke sab ansoo giren is mein
jo ruk jaye honto per...
samjh jana ke wo hon main
.
Kabhi jo chand ko dekho...
To tum yun muskra dena...
Ke phir badal bhi ajaen..
samjh jana ke wo hon main
.
Jo chal jaye hawa thandi..
To ankhen band kerlena...
Jo jhonka tez ho sab se..
samjh jana ke wo hon main
.
jo zada yaad ao main...
to ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aye...
to samjh jana ke wo hon main
.
Agar tum bhoolna chaho
mujhe shayed bhula do tum
magar jab saans aye gi..
samjh jana ke wo hon main..






Sochta hon ke woh kitne masoom thay
kya se kya ho gaye dekhte dekhte

Mein ne pathar se jin ko banaya sanam
woh khuda ho gaye dekhte dekhte

Hashr hai wahshat e dil ki awargi
hum se poocho muhabbat ki deewangi

Jo pata poochte thay kisi ka kabhi
La-pata ho gaye dekhte dekhte

Hum se yeh soch kar koi waada karo
aik waaday pe umrein guzar jayein gi

Yeh hai dunya yahan kitne ehl e wafa
bewafa ho gaye dekhte dekhte

Ghair ki baat tasleem kya kee jiye
ab to khud par bhi hum ko bharosa nahi

Apna saaya samajhte thay jin ko kabhi
woh juda ho gaye dekhte dekhte

Sochta hon ke woh kitne masoom thay
kya se kya ho gaye dekhte dekhte






Tum apna raNj-O-gham, apni pareshani mujhe de do.
tumhe gham ki kasam, Is dil ki veerani mujhe de do.

(yeh maana maiN kaabil nahi hooN in nigahoN main)-2
burah kya hai agar, yeh dukh yeh hairani mujhe de do.

(maiN dekhu to sahi, duniyaa tumhe kaise satati hai)-2
thode din ke liye, apni nighebanii mujhe de do.

(woh dil jo maine maaNga tha, magar gairoNe paya)-2
badi inaayat hai agar, uski pashemaani mujhe de do






aadat hi bana li hai
is shehar k logo ne
andaaz badal lena
awaz badal lena
dunya ki mohbt mai
atwaar badal lena
mosam jo naya aye,
raftar badal lena
aghyar wohi rakhna,
ahbab badal lena
aadat hi bana li hai
rasty mai agar milna
nazron ko jhuka lena
awaz agar dun to,
katra k nikal jana
har ik se juda rehna
har ik se khafa rehna
har ik se gila karna
jaaty hue raahi ko,
manzil ka pata de kar,
rasty mai rula dena
aadat hi bana li hai
is shehar k logo ne






Dayaar-E-Gair Main Kaise Bulaataa Tujhe
Phir Kidhar Ka Pataa Bataataa Tujhe....

Shaayad Taa-Umr Main Kostaa Khud Ko
Bin Ijaazat Jo Seene Se Lagaataa Tujhe ...

Shab-E-Tanhaai Ka Jo Dard Bayaa Kiya Tuune
Gar Hotaa Paas Mere Maraham Lagaataa Tujhe ...

Teri Yaad Ne Kuch Bhi Kaha Nahi Mujhse
Varnaa Khayal Ke Aansoo Dikhaataa Tujhe ...

Aksar Mann MaiN Aata Hai Tujhe Bhuul JaaouN
"
Dhananjay" Haath Ki Lakeer Se Kaise Mitaataa Tujhe ...






No comments:

Post a Comment