Tuesday, September 28, 2010

Justuja

Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de


yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de


Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de


Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de


Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de


Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de


Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de






Uski mohabbat me vo hunar dekha hai
Patthar mom ho jaye ye asar dekha hai

Taakat ke gurur me jo akadte hai.n
Waqt ke aage jhuka unka sar dekha hai

Karte hain din me jo watan parasti ki baate.N
Unhe raat me jalaate basti ke ghar dekha hai

Jo kehte hai sharaab khaane band karne ko
Chhup chhup ke unhe jaate udhar dekha hai

Muljimo.N ka rahnuma banne walon ke seene me
Masoom bachcho.N ko peetne ka jigar dekha hai

Karte hain is jahan me tujhse jo sachcha 'ishk'
Un kismatwalo.N ka teri panaho.N me basar dekha hai





Adaab dosto. Jawani alam bhi kya alam hain, har jagah junoon se bhara hua...

Kamyaabi ki chah mein khokar, yuhi uski nasheme sawarna hain
Kabhi hum age nikal chuke hain, kabhi woh peeche rah gaye hain
Kabhi woh khushimein zoom rahe hain, kabhi hum gum mein khoye hain
Kabhi humne kuch paya hain, kabhi woh kuch kho chuke hain
Zindagi kis cheez ka naam hain, zamane ko dikhana hain ……

Hum kabhi parbatonke unchaise, neechewalonko pukarte hain
Hawamein udnewale asmanmein khokar, zameenwaloko lalkarte hain
Zameenwale pani mein dubkar, udnewalonka apna nishana banate hain
Hawaka rukh kabhi idhar hain to kabhi udhar hain,
sirf, woh bhi kabhi garam hain to kabhi sheetal hain…..
Zindagi kis cheez ka naam hain, zamane ko dikhana hain ……

Junoon kuch alag se hain, iske rang kal kuch the aaj kuch hain
Iska roop kabhi sona chandi tha, kabhi do bheega zameen thi
Kabhi manjilebhi raaj mahalsi thi, kabhi asmanko chute hawamahalsi bhi thi
Joonon ka nasha to wahi hain, kalbhi, aajbhi aur kalbhi
Zindagi kis cheez ka naam hain, zamane ko dikhana hain ……





Dosto. Aadmi, jaha par jyada khushiyonse gujarne lagta hain to dar bhi mahsoos hone lagta hain…..


Ek khwab sa dekha tha, madhoshime mahkta hua
Uski umar bhi kya thi, nindse nikarlkar jag janetak
Khwab to aksar ate hain jate hain, nind ke kisi pahelumein
Kahnewala to kah bhi gaya hain, kabhi kisi daur mein
Dost, nind aur maut mein koyee fasla bhi nahi hain
Sirf fark itna ke, nind rooh ke saath laut ati hain jagneke baad,
maut ke baad to aisa kuch bhi nahin,
bawajood har ek ko is daur se gujarna hain,
har koyee sota hain yaha, har koyee marta hain yaha
sone se jagnetak ke fasle naap liye, kabhi ek raat to kabhi kuch pal
jeene se marneke bhi fasle naap liye,
kabhi kuch sadiya to kabhi kuch yugotak…..

woh chamakta hua nazar aa raha tha, koyee jugnusa tara tha
subah ke lalee ko cheerke, parbatomein ubhar raha tha
puri kaynat ujaalemein roshan thi, bahki bahki aur mahki mahki see
najakat ka koyee pata hi na tha, masumiyatpe waisehee naaz bhi tha
chidiya chahak rahee thi, ped aur patte lahra rahe the
subah ho rahi thi, subah ho rahi thi…….





Itefaaq Se Nazar Nazar Se Mili
Aur Hum Pyaar Samajh Letey Hai

Kisi Ke Dil Main Chupe Ehesaason Ko
Hum Apne Jazbaat Samajh Letey Hai

Woh Nazar Chura Kar Chale Gaye Humse
Hum Phir Milege Ye Baat Samajh Letey Hai

Woh Hue Na Hamare To Koi Baat Nahi
Unke Saaye Ko Apna Pyaar Samajh Letey Hai

Kabhi Koi Milga Humsayaa Zindagi Mai
Isii Dhokhe Mai Ye Baat Samajh Letey Hai

Itefaaq Se Nazar Nazar Se Mili
Aur Hum Pyaar Samajh Late Hai





No comments:

Post a Comment