Saturday, September 18, 2010

Mulaqaat

Kal ek Shakhs se Mulaqaat Ho gai
pal pal joda or din bhar baat ho gai


subah ka dilkash manzar cheda
kab na jaane haseen raat ho gai


Khuda bhi the shayad meherbaan humpe
chaha tha bheegna or barsaat ho gai


baaton baaton me jab muskuraye woh
yu laga hawaa bhi apne saath ho gai


tab se ud rahi hoon hawao mai "Lamha"
jaise mujh nacheez ki koi auqaat ho gai






Aji Daur Hee Aisa Hain To Kya Karen ?
Jara-Sa Pane Ko Sab Kuchh Kho De


Gum Kee Beej Agar Sukun Kee Daane De,
To Ekk Gum Khushi Se Hum Roj Bo Dein


Paap Bahut Hain To Saat Janam Bhii To Hain,
Itne Waqt Mein To Rooh Bhii Ro De


Aji Daur Hee Aisa Hain To Kya Karen ?
Jara-Sa Pane Ko Sab Kuch Kho De






Pathron Ko Dil Ka Haal Sunana Chala Hun,
Roothi Hui Kismat Ko Manane Chala Hun,

Nakam Hasrato Ka Janaza Uthaye Hue,
Mein Unse Wafa Nibhane Chala Hun,

Woh Bewafa Na The,Main Badnaseeb Tha,
Ye Baat Zamane Ko Batane Chala Hun,

Sawan Ki Ghataon Tum Kal Umadna,
Aaj To Main Aansu Bahane Chala Hun,

Jaha Banaya Tha Maine Kai Aashiyana,
Aaj Usi Shaakh Ko Jalane Chala Hun,

Meri Shayri Kisi Ka Dil Na Dukha De,
Isliye Tanhaayi Ko Apni Gazal Sunane Chala Hun.






Besabr hoke, yado.n ke , khaane dhundte hai
najaane hum diwaane, kya jaane ,dhundte hai

hum aise dhundte hai, is dunya me khushi ko
jaise parinde ,sahra,me daane dhundte hai

bachpan me, ghode haathi ,hass hass ke tod dale
Ro ro ke ab, khilone ,puraane dhundte hai

'Dil tak luta diya tha, jin dosto pe maine'
Vo jeb me meri, ik du-anne dhundte hai

taro.n ko chuune walo, kya tumko kuch khabar hai?
dairo haram ko tere, veeraane dhundte hai

ro ro ke muskurati, hai aediyan gumaa se
Jab baap beti bihane ,gharaane dhundte hai

Ik vo hai jo rihaii, ke dhundte hai pahlu
Ik hum hai, jo tire dil me , thaane dhundte hai

Bedar ho gayi hai, paiso se neend jinki
Besood ,khwab ab vo, sirhane dhundte hai






Gham paraaya beshumaar leta houn
Gar mile to thoda sa pyaar leta houn

Hansne ka ek bhi bahaana jo na mila
Mouskurane ka hi ikhtiyaar leta houn

Saara jahan nashe main jhoomta hai
Tere ishk ka jab khoumaar leta houn

Jab bhi poukaarti ho, milne ko tumse
Fauran khayalon ka raftaar leta houn

Gulshan e zindagi main rakha hai kya
Tum phool lelo, mein khaar leta houn

Mere jabeen ko chandan se kya kaam
Tumhare paaon ke ghubaar leta houn

Khuda ka koyi naqsh na mila mujh ko
Bandagi main tera hi nigaar leta houn

Mushkil hai Tanha Rahi ka Thak jaana
Tere tasawwur main qaraar leta houn






Mujhe Mera Janaza Sajane Do,
Mujhe Mera Dard Sunane Do,

Meri Maut Ki Murad Mango Ae Doston,
Ki Main Tumhari Khushi Mangta Hun,
Tum Khush Raho Ae Doston,
Ki Tumhe Pyaar Mein Bewafaaii Na Mile,
Sirf Isiliye Main Dard Ki Sima Lhanghta Hun,


Jab Tak Rahunga Zinda Aansu Ki Jagah Khoon Bahaunga,
Chahe Laal Ho Jaye Meri Aankhen Rote Rote Tujhe Dekh Kar Phir Bhi Muskraunga,


Mujhe Mera Janaza Sajane Do,
Jab Tak Mar Na Jaun Tab Tak Dil Jalane Do,






wo mujhse meri udasiyo ki wajah puchte hai
kitne bedard hai raat ke sannate ki wajah puchte hai

wo mujhse mere aansuoo ki wajah poochte hai
kitne jalim hai baarish ki barashne ki wajah puchte hai

wo mujhse meri pasand puchte hai
kitne pagal hai wo khud apne bare me puchte hai

wo mujhse mere rone ki wajah puchte hai
kitne chalak hai mujhe rulane ki wajah dhundte hai

wo mujhse mere wafa ki inteha puchte hai
kitne bhole hai sahil par khade samandar ki gharai puchte hai

aaj bhi jane kyun ye kambakht dil use pyar karta hai
ek wo hai jo door jane ke raste dhundte hai






No comments:

Post a Comment